Assalamu Alaikum Dosto ! Ziyada Jaane Keliye Link Par Click Kare..!!
01
Maula Ali Farmane Aalishan.
Gutagoo "conversation" Aisi Cheez Hai Jiski Wajah Se Insaan ||
"Ya To Dil Mein Utar Jaata Hai."
"Ya Phir Dil Se Utar Jaata Hai."
मौनाली अली फ़रमाने आलीशान |
02
Imame Ali Radiallahu Anhu.
Agar Kisi Ka Zarf Aazmana Ho To Usko Ziyada Izzat Do ! Wo Aala Zarf Huwa To Aap Ko Aur Ziyada Izzat Dega. Aur Agar Kam Zarf Huwa To Khud Ko Aala Samjhega..!!
इमामे अली रदी अल्लाहु अन्हु |
03
Imame Ali Radi allahu Anhu.
.Rishte 3 Waqt Main Be-Naqaab Hojate Hai...Budhape Mein Aulaad...Musibat Mein Dost..
Aur Ghurbat Me Biwi..
इमामे अली रेदी अल्लाहू अन्हू फरमाते हैं |
04
Hazrate Ali Quotes About Friendship RDA..
Jis Shaks Me Wafadari Na Ho Uske Saath Dosti Karne Ka Matlab Khud Ko Zaleel Karna Hai... Zindagi Ko Is Tarah Jiyo Jaise Hamesha Zinda Rehna Hai... Aur Aakhirat Ki Fikr Aise Karo Jaise Agle Hi Pal Mar Jana Hai...
हज़रते अली दोस्ती के बारे में फरमाते हैं |
05
Maula Ali Radi Allahu Anhu Ka Qaul..
Mujhe Wo Dost Pasand Hai Jo Mehfil Me Meri Ghalatiyan Chupaye Or Tanhai Me Meri Ghalatiyon Par Tanqeed Kare..
Example
06
Hazrat Ali Shere Khuda Radi Allahu Anhu Ka Farman..
Musibat Me Ho To Kabhi Yeh Na Socho Ki Kaunsa Dost Kaam Aayega Balki Yeh Socho Ki Ab Konsa Dost Chhod Ke Jayega.
Example
07
Friendship Quotes By Hazrat Ali RadiAllahu Anhu.
Hargiz Aise Shakhs Ki Dosti Ikhtiyar Na Karo Jo Tumhari Buraiyon Ko Yaad Rakhe Aur Khoobiyon Ko Bhool Jaye.
Example
08
Ali Mushkil Kusha Ka Farman.
Jahan Sadqat Aur Khuloos Nazar Aaye Waha Dosti Ka Haath Badhao Warna Tumhari Tanhai Tumhari Behtareen Saathi Hai.
Example
09
Ali Mushkil Kusha Ka Qaul.
Dosti Ki Zeenat Ek Doosre Ki Baat Ko Bardasht Karna Hai. Be-Aib Dost Talaash Mat Karo Warna Akele Reh Jaoge.
Example
10
Maula Ali Ka Farmane Aalishan.
Lambi Dosti Ke Liye Do Cheezon Par Amal Karo. Apne Dost Se Gusse Me Baat Mat Karo Aur Apne Dost Ki Gusse Me Kahi Hui Baat Dil Pe Mat Lo.
Example
11
Maula Ali Ka Qaul.
Shere Khuda Hazrat Ali Radiallahu Anhu Se Pucha Gaya ‘Dunia Ka Sab Se Ameer (Rich) Shakhs Kaun he ?Jawab Mila, ‘Dunia Ka Ameer Shakhs Woh he Jis Ke Dost Mukhlis Hain. Duniya Usko Yateem Samajhti Hai Jiske Maa Baap Na Ho, Lekin Main Yateem Usko Samajhta Hoon Jiske Acche Dost Na Ho..
Example
12
Hazrat Ali Radi Allahu Anhu Farmate Hain.
Kabhi Apne Dost ki Sacchai ka Imtehan na lo, Kya Pata Us Waqt wo Majboor ho aur Tum Ek Accha Dost kho Baitho.
Example
13
Maula Ali Mushkil Kusha Farmate Hain.
Apne Dushman Ko 1000 Dafa Moqa Do K Wo Tumhara Dost Ban Jaaye Par Apne Dost Ko 1 Bhi Moqa Na Do K Wo Tumhara Dushman Banjaye.
Example
14
Imame Ali Radi Allahu Anhu Farmate Hain.
Agar Dost Banana Tumhari Kamzori Hai To Tum Duniya Ke Sabse Taqtwar Insaan ho.
Example
Using document.write() after an HTML document is loaded, will delete all existing HTML:
Example
Using document.write() after an HTML document is loaded, will delete all existing HTML:
Example
15
Hazrat Ali Radi Allahu Anhu KA Farman.
Lakhon Ko Dost Banana Koi Badi Baat Nahi, Badi Baat Yeh Hai Ki Aisa Dost Banao Jo Tumhara Sath Us Waqt De Jab Lakhon Tumhare Dushman Ho.
Example
16
Maula Ali Ka Farmane Aalishan.
Khaas aur Aam Dost Me Itna hi Farq hota Hai; Aam Dost Sirf Tareef Karta Hai. Lekin Khaas Dost Tareef ke Saath-Saath Tanqeed bhi Karta Hai.
Example
17
Ali Murtaza Fatihe Khabar RDA.
Insan ke Bimaar Hone Ki Ek Badi Wajah Doston Ki Judai Hai.
Example
18
Ali Ibn Abi Talib Radhiallahu Anhu.
Jis Darakht Ki Lakdi Narm Hogi, Uski Shakhein Zyada Hogi. Narm Tabiyat Ikhtiyar Karo Taaki Tumare Dost Zyada Ho.
Example
19
Ali Ibn Abi Talib Radhiallahu Anhu.
Bura Dost Aag Ki Tarah Hai, Agar Jalta Hai To Aapko Bhi Jala Dega Aur Agar Bujha Hai To Apke Haath Kale Kar Dega.
Example
20
Ali Ibn Abi RDA Ka Farman in Roman English, Urdu, Hindi.
Wo Log kisi k Nahi hote Jo Dost or Rishty ko”Libas” ki tarha badalte hain.
Example
21
Hazrat Ali Ka Quote About Dosti In Hindi, English.
Jo Zara Si Baat Pe Dost Na Rahe Samajh Lena Wo Dost Kabhi Tha Hi Nahi.
Example
22
Ali Maula Ka Farman Dosti Ke Mutalliq.
Dost Ki Koi Baat Buri Lage To Khamosh Hojao. Agar Wo Dost Hai To Use Us Baat Ka Ranj Hoga. Aur Agar Na Hua To Tum Samjh Lena Ki Wo Tumhara Dost Nahi.
0 Comments
मेरे प्यारे दोस्तों ! यहां पर आप कोई ग़लत बात कमेंट ना करें। सिर्फ पोस्ट से संबंध कमेंट करें।