|| Maula  Ali Ka Farman ||

 



01|| Jab Koi Dost Tumhe Apna Raaz Bataye, To Ye Samajh Lena Ki Wo Apni Izzat Amanat De Raha Hai. Usmein Kabhi Bhi Khayanat Mat Karna.

02|| Hazrat Ali Farmate Hain. Tum Gulaab Ka Phool Ban Jaao, Kyonki Ye Phool Uske Hatho Mein Bhi Khushboo Chhod Jaata Hai. Jo Ise Masal Ke Phaink Deta Hai.

03 || Maula Ali Farmate Hain. ||
Duniya Mein Khoob-Soorat Dil Talaash Karo Chahre Nahi. Kyonki Khoob-Soorat Chahre To Bahut Hain. Lekin Khoob-Soorat Dil Bahut Kam.

04|| Hazrat Ali Se Puchha Gayaa..||Insaan Bura Kab Banta Hai ?? Jab Wo Apne Aap Ko Dusro Se Achha Samajhne Lage !!!

05|| Insaan Chahra To Saaf Rakhta Hai Jis Par Logo Ki Nazar Hoti Hai. Magar Dil Ko Saaf Nahi Rakhta Jis Par Allah Ki Nazar Hoti Hai.

06|| Zindagi Mein Khud Ko Kabhi Kisi Insaan Ka Aadi Mat Banana, Kyonki Insaan Bahut Khud-Gharz Hai. Jab Aap Ko Pasand Karta Hai To Aap Ki Burayi Bhool Jataa Hai, Aur Jab Nafrat Karta Hai To Aap Ki Achhayi Bhool Jaata Hai.




07|| Libaas Qimti Ho Yaa Sasti Kirdaar Ko Nahi Chhupaya Jaasakta. Apne Kirdaar Ko Achha Karo Har Libaas Mein Achhe Lago Ge.

08|| Bolnaa Sabko Aata Hai. "Bas" Kisi Ka Dimagh Bolts Hai. To Kisi Ka Akhlaque Volta Hai. Aur Kisi ki Zubaan. 

09|| Mushkil Waqt Aajaye To Kisi ka Ahsaan Mat Lo. Kyonki Mushkil Waqt Chaar Din Ka, Aur Ahsaan Zindagi Bhar Ka Hota Hai.

10|| Achha Dost Hath Aur Aankh Ki Tarah Hota Hai. jab Hath Ko Dard Hota Hai To Aankh Roti Hai, Aur Jab Aankh Roti Hai To Hath Aansu Saaf Karta Hai•

11|| Apni Khushi Keliye Kisi Dusre Ki Khushi Mitti Mein Mat Milano, Tumhare Wo Khushi Be-Kaar Hai Jiske Pichhe Kise Ke Aansu Ho.



12 || Maula Ali Farmate Hain. 

Jisne Tumhare Sath Burai Ki Ho, Uske Sath Ahsaan Kar Ke Use Badla De Do. Kyonki Ahsaan Bad-Zubaan Ki Zubaan Band Karta Hai. 

13 || Maula Ali Farmate Hain. 
 Tum Kisi Ko Chaho Aur Wo Tumhe Thukra De, To Ye Uski Bad-Nasibi Hai. Uske Baad Tum Usko Zabardasti Apna-na Chaho To Ye Tumhare Nags Ki Zillat Hai. 


14 || Maula Ali Farmate Hain. 
Jisse Muhabbat Kijaaye Usse Muqabla Nahi Kiya Jaata, Kisi Ko Paa Lena Muhabbat Nahi Balki Kisi Ke Dil Mein Jagah Bana Lena Muhabbat Hai.

15 || Maula Ali Farmate Hain. 

Muhabbat Sab Se Karo Lekin Usse Aur Bhi Ziyada Karo, Jiske Dil Mein Tumhare Liye Tum Se  Bhi Ziyada Muhabbat Hai. 

16 || Maula Ali Farmate Hain. 
Dosto Aur Muhabbat Unse Karo Jo Nibhana Jaante Ho, Nafrat Unse Karo Jo Bhulana Jaante Ho, Aur Ghussa Unse Karo Jo Manana Jaante Ho. 

17 || Maula Ali Farmate Hain. 
Hame Chahiye Ki Apni Har Cheez Dost Keliye Qurbaan Kare. Aur Har Kisi Keliye Dosto Hi Ko Qurban Na Kare.  

18 || Maula Ali Farmate Hain. 
Nek-Logo Ki Sohbat Se Hamesha Bhalai Hi Milti Hai. Kyoki Hawa Jab Phulo Se Guzarti Hai To Wo Bhi Khushboodar Hojati Hai. 

19 || Maula Ali Farmate Hain. 
Nafrat Se Bhare Dil Mein Pyar Jagane Se, Pahaad Ko Dhool Mein Badal Dena Aasan Hai. 

20 || Maula Ali Farmate Hain. 
Agar Koi Shakhs Apni Bhook Mitane Keliye Roti Chori Kare. To Chor Ke Hath Katne Kebajaye Wahan Ke Badshah Ke Hath Kate Jaye.

21 || Maula Ali Farmate Hain. 
Sabhi Badi Cheez Chhoti Shuru'aat se Aayi Hai. Har Aadat Ka Beej Ek Chhota-sa Phaisla Hota Hai..

 22 || Ek Dost Ne Dost Se Kaha: Dost Ka Matlab Kya Hota Hai? 

Dost Ne Muskura Kar Kaha : Pagal ! Ek Dost Hi To Hai, Jiska Koi Matlab Nahi Hota Aur Jahan Matlab Ho, Wahan Dost Nahi Hota..!!