Welcome To RBN Wikipedia All Of You.
- Assalmu Alaikum W Rahmat-Ul-Allahli W Barakatuh. Aap Sabhi Ka Kush-Aamdeed Hai. Mere Piyar Dosto Azeez Sathiyo Aaj Ki Is Post Ke Andar Aap Hazrate Maula Ali Radi Allahu Anhu Ki Piyari-Piyari Baten, Aqwal, Naseehaten, Farameen Padhne Ko Mile Gaa. Jisse Ki Hamari Zindagi Mein Khushyo Ke Bahare Aa Sakti Hai Depend Karta Aap Pe Allah Se Dua Kar Ki Rabb-e-Kaynat Hamen Amal Karne Ki Taufeeq De....!
- Dosto Aur Ek Zaroori Baat Hai Ki Aisi Post Ko Ziyada Se Ziyada Share, Comment, Like Kare Is Site Ko Subscribe Bhi Kar Len Taki Aap Ki Support Ho Jaaye Aur Silsil-e-Sawab Bhi....!
मौला अली की प्यारी में बातों से अपने जिंदगी में रोशनी लाओ मेरे दोस्तों.!
Table Of Contents...!
- Friendship Quotes By Mola Ali RDA.
- Mola Ali Quotes About Life.
- Hazrat Ali Ka Farman About Deat.
- Shere Khuda Mola Ali Qaul On Konwledg.
- Hazrate Ali Quotes in Hndi.
- Farman Mola Ali in Roman English.
- Damad-e-Rasool Hazrat Ali Ka Farameen.
- Imam Ali Quotes in English.
- Imam Ali Ki Naseehate.
- Aqwal Imam Ali.
1 Friendship Quotes By Hazrat Mola Ali Mushil Kusha RadiAllahu Anhu.
- 1 : Hargiz Aise Shakhs Ki Dosti Ikhtiyar Na Karo Jo Tumhari Buraiyon Ko Yaad Rakhe Aur Khoobiyon Ko Bhool Jaye.
- 2 : Jahan Sadqat Aur Khuloos Nazar Aaye Waha Dosti Ka Haath Badhao Warna Tumhari Tanhai Tumhari Behtareen Saathi Hai.
- 3 : Mola Ali Farmate Hain. Dosti Ki Zeenat Ek Doosre Ki Baat Ko Bardasht Karna Hai. Be-Aib Dost Talaash Mat Karo Warna Akele Reh Jaoge...!
- 4 : Lambi Dosti Ke Liye Do Cheezon Par Amal Karo. Apne Dost Se Gusse Me Baat Mat Karo Aur Apne Dost Ki Gusse Me Kahi Hui Baat Dil Pe Mat Lo....!
- 5 : Ek bar Mola Ali Se Pucha Gaya "Dunia Ka Sab Se Ameer (Rich Man) Shakhs{" Kaun he ? Jawab Mila, ‘Dunia Ka Ameer Shakhs Woh hai Jis Ke Dost Mukhlis Hain. Duniya Usko Yateem Samajhti Hai Jiske Maa Baap Na Ho, Lekin Main Yateem Usko Samajhta Hoon Jiske Acche Dost Na Ho. Lakhon Ko Dost Banana Koi Badi Baat Nahi, Badi Baat Yeh Hai Ki Aisa Dost Banao Jo Tumhara Sath Us Waqt De Jab Lakhon Tumhare Dushman Ho
- 6 : Apne Dost ki Sacchai ka Imtehan na lo, Kya Pata Us Waqt wo Majboor ho aur Tum Ek Accha Dost kho Baitho. – Ali Ibn Abi Talib Radhiallahu Anhu Apne Dushman Ko 1000 Dafa Moqa Do K Wo Tumhara Dost Ban Jaaye Par Apne Dost Ko 1 Bhi Moqa Na Do K Wo Tumhara Dushman Banjaye....!
- 7 : Agar Dost Banana Tumhari Kamzori Hai To Tum Duniya Ke Sabse Taqtwar Insaan ho....!
2 Hazrat Ali Ibn Abi Talib Quotes About Success (Radiallahu Anhu)
- Jis ka Rabita Allah Se ho Wo Naakam Nahi Hota, Nakam Wo Hota Hai Jis ki Ummidain Dunia Se Wabasta Ho...!
- Jab Tum Duniya ki Muflisi say Tang Aa jao aur Rizq ka koi Rasta na Niklay to Sadqa diya karo aur ALLAH se Tijarat karo....!
- Namaz ki Fikr Apne Upar Farz Karlo, Khuda Ki Qasam Duniya Ki Fikr Se Azad Hojaoge Aur Kamyabi Tumhare QADAM Choomegi.
- To Get more Knowledge By Mola Ali Quotes.
- Click Below Links.
3 Farmane Mola Ali Quotes Abou Death (Radi Allahu Anhu)
- Insaan Gunah Karne Ki Wajah Se Jahannum Me Nahi Jata Balki Gunah Par Mutmaeen Rehne Aur Tauba Na Karne Ki Wajah Se Jahannum Me Jata Hai....!
- Sab Se Badi Bahaduri Sabr Karna Hai.
Sab Se Badi Balaa Na-Umeedi Hai. Sab Se Badi Tafreeh Masrufiyat. Sub Se Bada Ustad Tajruba. Sab Bada Faida Naik Aulad. Sub Bada Tohfa Dar Guzar Karna. Sab Bada Sarmaya Khud Etmadi
Aur
Sub Se Bada Raaz Maut Hai …!
- Insan Apni Zindagi Mein har chiz ke piche bhagega magar do(2) chize uska picha karegi. (1) Uski Rozi (2) Uski Maut....!
- Hazrat Ali Radiallahu Anhu Ne Farmaya Jo Gaali Tum Gusse Mein Ya Mazak Mein Dete Ho Woh Tumhari Qabr Ke Liye Ek Bicchu Ban Jata Hai.
4 Imam Ali Quotes on Knowledge
- Khamosh Raho ! Ya Aesi Bat Kaho Jo KHAMOSHI Se Behtar Ho Ae Jawano: Adab k Zariye Apni izzat aur ILM Ke Zariye Apne Deen ki Hifazat karo...!
- Imam Hazrat Ali Radiallahu Ta’ala Anhu Se Kisi Ne Poocha “ILM Kya Hai?”
To Aap Radiallahu Ta’ala Anhu Ne Farmaya, “Agar Koi Tum Pe Zulm Kare To Use Mua’af Kar Do, Ager Ta’aluq Torey Tou Jod Lo, Agr Koi Tumhai’n Mehroom Karey To Usey Nawaz Do, Agar Kisi Se Intiqam Lena Ho To Dar-guzar Kardo, Ghussey Main Aisi Baat Na Karo K Baad Main Nadamat Ho” Ye “ILM” Hai.
Log Tumhari Aqal Se Tumhari Shaksiyat Ka Wazan Karte Hai. Lehaaza Tum Apni Aqal Ka Wazan Ilm Se Badhao....!
- Jab Insaan Ki Aqal Mukammal Ho Jati Hai, To Uski Guftagu Mukhtasar Ho Jati Hai.
– Imam Ali Radi Allahu Anhu
Khuda Ka Khauf Aqal Ki Buniyaad Hai....!
- Aye Ibne Aadam ! Ilm Haasil Kar, Ilm Dil Ko Roshni Deta Hai, Doulat Ki Laalach Se Bach, Doulat Ki Laalach Andha Bana Deti Hai....
5 Hazrat Ali Quotes In Hindi
- Na-Insaan Apni Marzi Se Paida Huwa Aur Na-Apni Marzi Se Marega. Phir Wo Inke Beech Ka Arsa Apni Marzi Se Kyun Guzarna Chahta Hai...???
- Insan ke Aansu Us Waqt Muqaddas Hote Hai, Jab Wo Kisi Aur Ki Takleef Mehsus Kar Ke Nikle...!
- Duniya Me Kabhi Kisi Acche Insan Ko Talaash Mat Karo, Balki Khud Acche Ban Jao. Ho Sakta Hai Ki Tumhare Is Amal Se Kisi Aur Ki Talaash Khatam Ho Jaye...!
- Accha Karo Aur Zamana Bura Samjhe Yeh Tumhare Haq Me Behtar Hai Bajaye Iske Tum Bura Karo Aur Zamana Tum Ko Accha Samjhe...!
- Apno ko Hamesha Apne Hone ka Ehsaas Dilate Raho warna Waqt Aapke Apno Ko Aap ke Bina Jeena Sikha Dega...!
- Jab Bhi Farig Waqt Mile To Apni Maa Ke Paas Ja Ke Baitha Karo, Kyunki Maa Ke Saath Guzara Hua Waqt Qayamat Ke Din Nijat Ka Baa’is Banega...!
- Har Woh Din Tumhare Liye Eid Hai Jis Din Tum Apni Maa Se Muskura Ke Baat Karo...!
- Agar Koi Accha Lage To Us Se Kam Mila Karo, Agar Koi Zyada Accha Lage To Us Se Sirf Dekha Karo Aur Agar Koi Dil Me Utar Jaye To Use Sirf Yaad Kiya Karo...!
6 Hazrat Ali Sayings In Roman Hindi Urdu English
- 4 Khaleefa ke 4 Aqwal:
“Aise Shakhs ko Dost rakho jo Naiki kar k Bhool jaye”.
(Hazrat Abu Bakar Radiallahu Ta’ala Anhu)
“Maut ko humesha Yad rakho, magr Maut ki Arzoo kabhi na karo.”
(Hazrat Umar Farooq Radiallahu Ta’ala Anhu)
“Insan Zuban k parde me Chupa ha”
(Hazrat Usman e Gani Radiallahu Ta’ala Anhu)
“Humesha Such bolo ta k Tumhe Qasam kane ki zarurat na pare”
(Maula e Kainaat Mola Ali Radiallahu Ta’ala Anhu)
Kisi Ka Dil Mat Dukhao, Ho Sakta Hai Wo Tumhe Aise Chahta Ho Jaise Marne Wala Zindagi...!
- Log Dukh Nahi Dete, Logon Se Waabasta Umeedein Dukh Deti Hai...!
- Akhlaq Ek Dukan Hai, Aur Zuban Uska Tala, Tala Khulta Hai To Pata Chalta Hai K Dukan Sonay Ki Hai Ya Ko’aly (Koila) Ki...!
- Akhlaaq Ki Keemat Kuch Nahi Deni Padti Hai. Magar Us Se Har Cheez Khareedi Ja Sakti Hai...!
- Agar Log Namaz-e-Fajr Ka Sawab Aur Fazeelat Ko Jaan Le To Raat Ko Is Khauf Se Sona Chhod Denge Ki Kahi Neend Ki Wajah Se Namaz Na Choot Jaye...!
- Apna Behatreen Waqt Namaz Ke Liye Muqarrar Kar Do, Kyunki Tumhare Sab Kaam Tumhari Namaz Ke Baa’is Qubool Honge...!
- Sabse Achcha Waqt Woh Hai Jo Namaz Mein Guzre...!
7 Hazrat Ali Best Quotes in Urdu.
- Sarkar Saiyedna Maula Ali Radiallahu Anhu Se Kisi Ne Pucha Ya Mola Ali Faraayiz(Farzo) Ke Baad Sabse Afzal Amal Konsa Hai? Sarkar Maula E Kainat Syedna Ali Murtaza Radiallahu Anhu Ne Farmaya Ki Faraiz Ke Baad Sabse Behtar Amal Bhuko Ko Khana Khilana Hai.
Aye Insan Agar Tujhe Yeh Maloom Ho Jaye Ki Sajde Ke Dauran Tujh Par Kitni Rehmatein Nazil Hoti Hai To Tu Kabhi Sajde Se Sar Uthayega Hi Nahi...!
- Mola-E-Kaynat Mushkil Kusha Ali Radiallahu Anhu
Apni Kismat Pe Wo Rota Hai Jo Sajde Me Nahi Rota...!
- Mola-E- Kainat Maula Ali Mushkil Kusha Radiallahu Anhu Farmate Hain.Namaz Padhne Ke Dauran Tumhari Kaifiyat In Do Me Se Ek Honi Chahiye. (Tum Allah Ko Dekh Rahe Ho Yaa Phir Allah Tumhe Dekh Raha Hai.)
- Jab Log Kisi Ko Pasand Karty Hain To Uski Buraiyan Bhol Jatay Hain Aur Jab Kisi Say Nafrat Karty Hain To Uski Achaiyan Bhool Jatay Hain...!
- Nafrat Gunah Se Karo, Gunah Karne Wale Se Nahi. Shayad! Tumhari Mohabbat Me Aa Kar Wo Gunah Karna Hi Chhod De...!
- Wo Gunah Jis Ka Tumhe Ranj Ho, ALLAH Ke Nazdeeq Us Neki Se Behtar Hai Jis Se Tum Me Ghuroor Paida Ho Jaye...!
- Note :- Mere Azeez Dosto ! Mola Ali Ki In Baato Par Zaroor Amal Karna.....!
8 Farman Ali & Saying in Roman Hindi, English, Urdu. (Radiallahu Anhu)
- Gunaah Jawaan Ka Bad Hai Magar Budhe Ka Badtar...!
- Logon Ke Dilon Mein Apna Maqam is Tarah Bana Lo K Mar Jao to Tumhare Liye Royain or Zinda Ho To Tumhen Milna Pasand Karein...!
- Kisi Ke Khuloos Aur Piyar Ko Uski Bewakoofi Mat Samjho, Warna Kisi Din Tum Khuloos Aur Pyar Talaash Karoge Aur Log Tumhe Bewakoof Samjhenge...!
- Jo Shakhs Hamesha Tumhara Bhala Chahe, Uska Udas Hona Tumhare Liye Fikr Ki Baat Hai...!
- Koi Tumse Bhalai Ki Umeed Rakhe To Use Mayus Mat Karo, Kyunki Logon Ki Zaruraton Ka Tumse Waabasta Hona Tum Par Allah Ki Inayat Hai...!
- Koi GUNAH Lazzat k liye mat karna q k Lazzat khatam ho jayegi GUNAH baqi rah jaega, aur koi NEKI taklif ki waja se mat chodna q k taklif khatam ho jaegi NEKI baqi rahjayegi..!
- Tanhai Me Gunaah Se Bacho, Kyunki Iska Gawah Khud Allah’taala Hota Hai...!
- Jab Gunahon ke Bawajood Allah ke Naimatain Musalsal Tujhe Milti Rahe to Hoshiyaar ho Jana, Ke Tera Hisaab Qareeb aur Sakht Tareen Hai...!
9 Mola Ali Ki Naseehaten in Roman English. (RDA)
- Jisne Kisi Ko Akele Mai Nasihat Ki Usne Usse Sawar Diya aur Jis ne Kisi Ko Sab Ke Samne Nasihat Ki Usne Usko Mazeed Bigaad Diya...!
- Log Pyar Ke Liye Hote Hai Aur Cheezein Istemaal Ke Liye. Baat Us Waqt Bigadti Hai Jab Cheezon Se Pyaar Aur Logon Ko Istmaal Kiya Jaye...!
- Aitbaar Aur Pyar Do Aise Parindey Hai Agar In Me Se Ek Udd Jaye To Doosra Khud Hi Udd Jata Hai...!
- Yeh Duniya Kitni Ajeeb Hai Imaandar Ko Bewaqoof, Be-Imaan Ko Aqalmand, Aur Behaya Ko Khoobsurat Kehti Hai...!
- Agar Duniya Me Sukoon Hota To ALLAH Ko Kaun Yaad Karta. Sukoon To Sirf Unlogon Ke Paas Hai Jo ALLAH Ki Raza Ko Apni Raza Samajhte Hai...!
- Koshish Karo Ki Tum Duniya Me Raho, Duniya Tum Me Na Rahe. Kyunki Kashti Jab Tak Pani Me Rehti Hai, Khoob Terti Hai. Lekin Jab Pani Kashti Me Aa Jata Hai To Wo Doob Jati Hai...!
- Duniya Mein Behtreen Insaan Wo Hai Jiske Liye Koi Roye Aur Badtareen Insaan Wo Hai Jiski Wajah Se Koi Roye...!
- Agar tum kisi ko dhokha dene mein kamyaab ho jate ho to ye mat socho ki wo kitna bewaqoof hai, balki ye socho ki usko tum par aitbaar kitna tha...!
10 Baab-Ul-Ilm Hazrat Ali Ka Farman.(Radiallahu Anhu)
- Agar Kisi Ko Yeh Ghuroor Ho Ki Wo Tumse Jitni Martaba Naraz Ho To Tum Use Mana Loge To Behtar Hai Tum Uska Ghuroor Tootne Na Do...!
- Jo Tumhe Khushi Mein Yaad Aaye Samajhlo Tum Us Se Mohabbat Karte Ho. Aur Jo Tumko Gham Me Yaad Aaye Samajhlo Wo Tumse Mohabbat Karta Hai...!
- Jab Tum Kisi Se Mohabbat Karo To Us Se Zara Bhi Mohabbat Na Maango, Kyunki Tum Ne Mohabbat Ki Hai Tijarat Nahi...!
- Jo Apne Aap Ko Mohtaaj Banata Hai Wo Hamesha Mohtaaj Hi Rehta Hai.
– Mola Ali RadiAllahu Anhu
Azaadi Ki Hifazat Na Karne Wala Ghulami Me Giraftar Ho Jata Hai...!
- Lambi Umeedon Se Parhez Kiya Karo ! Kyunki Yeh Doosri Neimaton Ko Tumhari Nazar Me Chota Bana Deti Hai Aur Tum Unki Shukr Guzari Nahi Karte...!
- Agar Tum Kisi Ko Chhota Dekh Rahe Ho To Tum Use Door Se Dekh Rahe Ho Ya Phir Ghuroor Se...Gaur-o-Fikr Kare Dosto...!
- Hazrat Ali Mola Mushkil Kusha Radiallahu Ta’ala Anhu Ne Farmaya Ki. Main Poori Zindagi Me Sirf Ek Raat Sukoon Se Soya Hoon. Poocha Gaya Woh Kaunsi ? Hazrat Ali Radiallahu Ta’ala Anhu ne farmaya: Jis Din Huzur Alyhis-Salam Ne Farmaya Ki Aye Ali! Kal tumhe Macce Ke Gharibon meoin (Amanaten) Maal-e-Ghanimat Taqseem Kar Ke Aana Hai. Kyunki Sirf Us Raat Mujhe Yaqeen Tha Ki Main Subha Zinda Uthunga...!
1 Comments
Sarkar aapne assalamu alaikum wa rahmatullahi wa barakatuh galat likhe hai
ReplyDeleteमेरे प्यारे दोस्तों ! यहां पर आप कोई ग़लत बात कमेंट ना करें। सिर्फ पोस्ट से संबंध कमेंट करें।