Table of contents.
  1. Who is Mola Ali Radi Allahu Anhu?
  2. Islamic the best Quotes by Mola Ali.
  3. Imam Ali Quotes in Roman English.
  4. Mola ali Ka Qaul about Life
  5. Mola Ali Quotes About Friendship.

Who is Mola Ali RDA ?
Hazra-e-Ali-ul-Murtaza Kon Hain ?

  • Puri Duniya Ke Andar Insani Kalam Mein Utni Taaqat-o-Quwat Nahi Ki Woh Imem-e-Husain Ke Abba jaan Hazrat-e-Ali Ibn Abu Talib “Radi Allahu Unhu / RDU” Ki Shan-o-Ilm Aur Hikkmat Ko Bayan Kar Sake. Mere Piyare Dosto ! Imame Ali RDU Ke Maqam Aur Ilm Ka Aap Is pyari Hadith Se Andaza Laga Sakte Hain Ki Jiske Baare Mein Hamare Pyare Madni Aaqa Macci Sardar “Hazrat Mohammad Mustafa Sal-Lallahu Alaihi Wasallam” Farmate Hain Ki Main Ilm [Knowledge] Ka Samandar Hoon Aur Ali Uska Darwaja Hai. Aur Ek Dusri Jagah Irshad Farmte Hain Ki “Be-Shak Ali Mujhse Hai Aur Main Ali Se Hoon” Mere Baad Har Momin Ka Ali Wali Hai. Aur Ek Dusri Jaga Par Prophet Mohammad SWL Farmte Hain Ki “ Jiska Main Maula Hoon Uska Ali Maula Hai….

  • Ek Hadith mein hai ki Hazrat-e-Jibrail alaihis Salam Insani Shakl-o-Soorat mein Mola Ali ke paas Aaye Aur Mola Ali se kahne lage Ai Maula Ali ye bata ki abhi "Jibrail" Kahan hai. To Hazrat-e-Mola Ali Mushkil Kusha Radi Allahu Anhu Kuchh Der "Muraqibah" mein baithe. Uske baad Jibrail ko bole Ai Jibrail ! Main ne west, east,south, north aur Aasman-o-Zameen ko Dekha Yahan tak ki har taraf dekha kahin Jibrail nahi hai. Ab  mere saamne jo hai wohi Jibrail ho sakta hai. To Jibrail Ameen Kahne lage Jee Mola Ali Aap ne sahi pehchana hai.
To Mere Pyare Dosto ! Aaj Ki Is Post Ke Andar Usi Khalifa-e-Rasool, Damaad-e-Mustafa, Ameer-ul-Momineen, Sher-e-Khuda, Faatih-e-Khaibar, Haidar-e-Karrar, Maula-e-Mushkil Kusha Radi Allahu Unhu ke Kuchh Farman-e-Aalishan, Aqwaal-e-Ahsan, the bests Quotes Social Media mein Blog ke through se aap tak Pahunchane ki Koshish Kar raha hoon. Rab Tabarak-o-Tala se Dua kare ki Hum sab ko Mola Ali Ki pyari Bato par Amal karne ki Taufeeque Ataa Farmaye.

 




💦Islamic Best Quotes Mola Ali Ki Naseeht-ein Roman English Aur Hindi Mein Janne Keliye Mujhse Rabta Kare Aur In Posts ko Share kare sawab ki niyat se...!

1 Quotes of Imam-e-Alli Radi Allahu Anhu. 
01 : Main “Jannat” ke shauk mein Ibadat nahi karta Kyunki Yeh Ibadat nahi “Tijaarat hai, Main “Dozakh” ke khouf se bhi Ibadat nahi karta kyonki yeh Ibadat nahi “Gulami” hai, Main Ibadat sirf Isliye karta hoon kyonki mera Rab Ibadat ke “Qabil” hai aur koi nahi. 

02 : Agar Rasta khub-soorat hai to pata karo kis “Manzil” ko jata hai. Lekin agar Manzil “Khubsoorat” hai to raste ki parwa mat karo.

03 : Daulat milne par Log badalte nahi, Balki Be-Naqaab hote hai.

04 : Yeh na socho ki Allah Dua fauran qabool kyon nahi karta, Yeh shukr karo ki Allah hamare Gunahon ki saza fauran nahi deta.

05 : Mujhe Dua qabool hone ki “Fikr” nahi, Mujhe sirf Dua mangne ki “Fikr” hai. Kyonki Jab mujhe Dua mangne ki taufeeq hogaye hai to Qabooliyat bhi uske sath Hojayegi.

06 : Rab se jab bhi mango achha “Muqaddar” mango, Maine bade-bade Aqal-mando ko Muqaddar walo kea age jhukte dekha hai.

07 : Jis tarah Shabnam ke Qatre mur-jhaye huwe phool ko taazgi dete hain, Usi tarah “Achhe Alfaaz”| maayus Dilo mein Roshni Bhar dete hain.

08 : Achhe Logo Ki Ek Yeh Nishani Bhi Hai. Ki Unko Yaad Rakhna Nahi Padta Hai, Woh Yaad Rah Jaata Hai.

09 : Insan Ka Kirdar Uski Zuban Ke Niche Poshida Hai. Agar Kisi Shakhs Ke Kirdar Ka Pata Lagana Ho To Usko Sakht Gusse Ki Haalat Mein Dekho

My Dear Freinds !  To Get More Knowledge The Help of Islamic Khalifa Hazrat-e-Ali Mushkil Kusha "Radi Allahu Anhu" Quotes. click below links.
Click here...!

02 Imam-e-Mola ali Quotes In Roman English.

01: Insaan Apni Tauheen Maaf To Kar Sakta Hai Par Bhool Nahi Sakta.

 

02: Insan Ka Fuzool Shauq Mein Waqt Ko Kho Dena Is Baat Ki Daleel Hai Ki Allah Us se Naraz hai.!

03: Agar Tum Pahad Se Gire To Ye Tere Liye Utna Nuqsan-deh Nahi Jitna Ki Tum Kisi Ki Nazro Se Gir Jaaye..! 

04: Ghareeb Ki Madad Karo Uska Dil Na Dukhao Aur Uska Ehsan Karo Kyonki Ghareeb Hone Mein Ziyada Waqt Nahi Lagta..! 

05: Kisi Ki Madad Karte Waqt Uske Chehre Ki Jaanib Mat Dekho Ho Sakta Hai Uski Sharminda Aankhein Tumhare Dil Mein Ghuroor Ka Beej Bo De…! 

06: Jiska Rabta Allah Se Ho Woh Na-Kaam Nahi Hota. Na Kaam Woh Hota Hai Jiski Ummedain Duniya Se Wabasta Ho..! 

07: Jab Tumhari Jaan Ko Khatra Ho To Sadqa De Kar Jaan Bachao Aur Jab Tumhare Deen Ko Khatre Ho To Jaan De Kar Deen Bachao…! 

08: Jab Tum Duniya Ki Muflisi Se Tang Aa Jaao Aur Rizq Ka Koi Rasta Na Nikle To Sadqa Karo Aur Allah Se Tijaarat Karo…! 

09: Apne Din Ka Aghaz Sadqa Dene Se Shuru Karo. Us Din Tumhari Koi Dua Rad Nahi Ki Jaayegi. Aur Achhi Baat Batana Bhi Sadqa Hai.

03 Hazrat-e-Mola Ali Radi Allahu Unhu Ka Qaul About Life.


01: Zindagi Ko Zaroorat Ki Taraf Le Jaao, Khwahish Ki Taraf Nahi. Kyonki Zaruriyat To Faqeeron Ki Bhi Poori Hojaati Hai Aur Khwahishat Bad-shahon Ki Bhi Adhuri Rah Jaati Hai. 

02: Zindagi Usdaat Se Bhi Ziyada Sakht Hoti Hai, Ustad Sabaq De Kar Imtihaan Leta Hai Aur Zindagi Imtihan Lekar Sabaq Deti Hai. 

03: Zindagi Ki Har Mod Par Sulah Kaam Sikho..! Kyonki Jhukta Wohi Hai Jis Mein Jaan Hoti Hai Aur Akadna To Murdi ki Pehchan Hoti Hai. 

04: Yeh Zindagi Do Din Ki Hai Ek Din Tumhare Haq Mein Aur Ek Din Tumhare Khilaf Jis Din Tumhare Haq Mein Ho Us Din Ghuroor Mat Karna Aur Jis Din Tumhare Khilaf Ho Us Din Sabr Karna…! 

05: Insan Zindagi Se Mayoos Ho To Kamyabi Bhi Na-Kaam Nazar Aati Hai. 

06: Tabiyat ki Narmi Aur Sakhawat Insan Ko Dushmano Ke Dilon Mein Bhi Mehboob Bana Deti Hai…!

04 Farman-e-Maula Ali About Life.

01 : Insan Bhi Kya Cheez Hai… Daulat Kamane Ke Liye Apni Sehat Kho Deta Hai. Phir Sehat Ko Wapis Pane Ke Liye Apni Daulat Khota Hai. Mustaqbil Ko Soch Kar Apna Haal Zaaye Karta Hai, Phir Mustaqbil Me Apna Maazi Yaad Karke Rota Hai. Jeeta Aise Hai Jaise Kabhi Marega Hi Nahi, Aur Mar Aise Jata Hai Jaise Kabhi Jiya Hi Nahi. – 

02 : Imam Ali Radiallahu Anhu Farmte Hain.  Sabse Bada Gunaah Wo Hai jo Karne Wale Ki Nazar Me Chota Ho. – 

03 : Imame Aali Muqaam RDA says. Guftgoo Aisi Chez hy Jiski wajah se Insan  "Ya to Dil me Utar Jata hai./ Ya Phir Dil se Utar Jata hai" Agar Kam Zarf hua to Khud ko Aala Samjhega. – 

04 : Imam Ali Radiallahu Anhu Ka Qaul. 3 Rishte 3 Waqt Main Be-Naqaab Hojate Hai. Budhape Mein Aulaad, Musibat Mein Dost Aur Ghurbat Me Biwi. – 

05 : Mola Ali Sher-e-Khuda RDA ka Farman-e-Aalishan Hain. Har Kisi Ko Itni Ehmiyat Do Jitni Wo Tumko Deta Hai. Agar Kam Doge Ghamandi Kehlaoge Aur Agar Zyada Doge Khud Ghir Jaoge.-  

05 Hazrat Ali Quotes About Friendship (Radi Allahu Anhu)

01 : Jis Shaks Me Wafadari Na Ho Uske Saath Dosti Karne Ka Matlab Khud Ko Zaleel Karna Hai. Zindagi ko is Tarah jiyo jaise hamesha zinda rehna hai. Aur Aakhirat ki fikr aise karo jaise Agle hi Pal Mar Jana hai. – 
02 : Jis Darakht Ki Lakdi Narm Hogi, Uski Shakhein Zyada Hogi. Narm Tabiyat Ikhtiyar Karo Taaki Tumare Dost Zyada Ho. – 
03 :  Wo Log kisi ka Nahi hote Jo Dost or Rishte ko”Libas” ki tarha badalte hain. –
04  Jo Zara Si Baat Pe Dost Na Rahe Samajh Lena Wo Dost Kabhi Tha Hi Nahi. –
05 : Dost Aag Ki Tarah Hai, Agar Jalta Hai To Aapko Bhi Jala Dega Aur Agar Bujha Hai To Apke Haath Kale Kar Dega. –
06 :Khaas aur Aam Dost Me Itna hi Farq hota Hai; Aam Dost Sirf Tareef Karta Hai. Lekin Khaas Dost Tareef ke Saath-Saath Tanqeed bhi Karta Hai. –
07 : Ali Ibn Abi Talib Radhiallahu Anhu fasrmate hain.  Dost Ki Koi Baat Buri Lage To Khamosh Hojao. Agar Wo Dost Hai To Use Us Baat Ka Ranj Hoga. Aur Agar Na Hua To Tum Samjh Lena Ki Wo Tumhara Dost Nahi. –
08 : Mujhe Wo Dost Pasand Hai Jo Mehfil Me Meri Ghalatiyan Chupaye Or Tanhai Me Meri Ghalatiyon Par Tanqeed Kare. –
09 : Insan ke Bimaar Hone Ki Ek Badi Wajah Doston Ki Judai Hai. –
10 : Ali Ibn Abi Talib Radhiallahu Anhu ka Qaul hai.  Musibat Mein Ho To Kabhi Yeh Na Socho Ki Kaunsa Dost Kaam Aayega Balki Yeh Socho Ki Ab Konsa Dost Chhod Ke Jayega. – 

06 💦Maula Ali Quotes 
Farman-e-Mola Ali.

  1. Agar Tumhe Ek Doosre Ki Niyyaton Ka Pata Chal Jaye, To Tum Ek Doosre Ko Dafnana Hi Chhod Doge...!

  2.   Jab Main Dastarkhan Par Do Rang Ke Khane Dekhta Hoon to Main Mayoos Ho Jata Hoon ki Aaj Phir kisi ka HAQ Mara Gaya...!

  3. Mola Ali Radi Allalhu Anhu Famate Hain. Pareshani Khamosh Hone Se Kam, Sabr Karne Se Khatam Aur Shukr Karne Se Khushi Me Badal Jati Hai...!

  4. Sabr Ki Do Surtein Hai. Jo Na-Pasand Ho Use Bardasht Karna Aur Jo Pasand Ho Uska Intezar Karna...!

  5. Kabhi Bhi Apni Jismaani Taaqat Aur Daulat Par Bharosa Na Karna Kyunki Bimaari Aur Ghurbat Aane Mein Der Nahi Lagti...!

  6.  Tum Gulaab Ka Phool Ban Jao, Kyunki Yeh Phool Uske Haathon Mein Bhi Khushboo Chhod Jata Hai Jo Ise Masal Kar Phenk Deta Hai...!

  7. Momin Woh Nahi Jiski "MEHFIL" Paak Hai, Momin Woh Hai Jiski TANHAI Paak Hai....!

07 💦Mola Ali Ka Farman The Best Golden Words By Hazrat Ali.

  • 1 Khalis Dosti Ek Accha Rishta Hai.
  • 2 Agar Tum Badshah Ho Tab Bhi Apne Walid Aur Ustad Ke Taazeem Keliye Khade Ho Jao.
  • 3 Na Umeedi Se Rooh Mar Jati Hai.
  • 4 Zuban Aisa Darinda Hai Jise Agar Khula Chod Diya Jaye To Phaad khaye.
  • 5 Neki Ka Iradah Hashr Ki Aag ko Bujata Hai.
  • 6 Jo Mile Usi Mein Se Do.
  • 7 Padosiyo Ke Bach-cho Par Nawaazish Aur Maherbani Karo.
  • 8 Jitni Gairat Hogi Utni Hi Paak Daamani Hogi.
  • 9 Gusse ki haalat me koi faisla mat karo aur agar khush ho to koi vaada mat karo.
  • 10 Insaan Ka Kirdaar Uski Zaban Ke Neeche Dafan Hota Hai. Agar Kisi Shakhs Ke Kirdaar Ka Pata Lagana Ho To Use Sakht Gusse Ki Haalat Mein Dekho.
  • 11 : Moula Ali Radi Allahu Anhu Farmate Hain Ki 5 Cheezon ki 5 Jagah Par Hifazat Karo:
  • 1 : Mehfil Mein Zaban Ki.
  • 2 : Bazar Me Aankh Ki.
  • 3 : Namaz Mein Dil Ki.
  • 4 : Dastarkhan Par Pet Ki.
  • 5 : Nigah Mein Haya Ki..!
  • 12 : Jab 𓁵Insaan Narazgi Khatam Karne Mein Pehl Karta Hai To Iska Yeh Matlab Nahi Ki Wo Ghalat Tha, Iska Matlab Hai Ki Use Unse Zyada Rishta Aziz Hai...
  • 13 : Hamesha Apni Chhoti Chhoti Ghaltiyon Se Bachne ki Koshish karo, kyunki Insaan Pahadon se Nahi Balki Chhote Chhote Pattharon se Thokar Khate Hai..
  • 14 : Tumhari Niyyat ki Aazmaish Us Waqt Hoti hai Jab Tum kisi aise Insaan ki madad karo jis se tumhe koi cheez ki umeed na ho...
  • 15 : Insaan Ko Acchi Niyyat Pe Wo Inaam Milta Hai, Jo Use Acche Aamal Par Bhi Nahi Milta....!

08 💦Quotations By Imam Ali Ibn Abi Talib Radi Allahu Anhu.

  1.  Agar Tumhain Yaqeen Ho Jaye ke Tumhara Rizq ALLAH Ke Paas Hai To Phir Rizq Ki Nahi ALLAH Ki Talash Karo Jis Ke Paas Tumhara Rizq Hai.
Rizq Ke Pichhe Apna Imaan Kharab Mat Karo...!  Kyunki Naseeb Ka Rizq Insaan Ko Aise Talaash Karta Hai Jaise Marne Wale Ko Maut...!

Din Ko Rizq Talaash Karo Aur Raat Ko Use Talaash Karo Jo Tumhe Rizq Deta Hai...!

Agar Rizq Aqal-o-Danish Se Milta To Jaanwar Aur Bewakoof Zinda Hi Na Rehte...!

Jhoote Ki Sabse Badi Saza Yeh Hai Ki Uske Sach Ka Bhi Aitbaar Koi Nahi Karte...!

ALLAH Ke Nazdeek Sabse Zyada Gunahgaar Cheez Jhoot Bolne Wali Zaban Hai...!

Nafs Bahut Qimti Hai. Ise Jannat Se Kam Kisi Qimat Pe Mat Bechna...!

Hazrat-e-Imam Ali Radiallahu Anhu Famate Hain. Sabse Zyada Qareeb Aur Bada Dushman Apna Nafs Hai...!

Damad-e-Rasool, Haidar-e-Karraar Mola Ali Farmate Hain.
Jab Aankhein Nafs Ki Pasan-dida Cheezein Dekhne Lage To Dil Anjaam Se Andha Ho Jata hai...!

Kisi ko Tum Chaho Aur Woh Tumhe Thukra De. To Yeh Uski Bad-Naseebi hai. Aur Agar Koi Tumhe Na Chahe Aur Tum Use Zabardasti Apna Banana Chaho To yeh Tumhare Nafs Ki Zillat Hai....!


03 Hazrat-e-Mola Ali Radi Allahu Unhu Ka Qaul About Life.


03 Hazrat-e-Mola Ali Radi Allahu Unhu Ka Qaul About Life.