Yom-e-Aashurah ka roza aur uski Fazilat.
Moharram ki 10th tareekh ko roza rakhna chiye Ya nahi ?
Read more......
Allah ke piyare Nabi Huzaoor Mohammad SWL "Aashura" ka roza Bil-khusoos Ehtamaam Farmate thai. HaYom-e-Aashura ka Roza Aur Uski Fazilat
AASHURA" Moharram ki Daswin 10th Tareekh ko kahte hain. Us din Roza rakhne ki bahut fazilat hai.
⦁ Hdith : Hazra-t-Qatadah se naqal kiya gaya hai ki Nabi kareem SWL ne Irshad farmaya hai. Main Allah tala se Umeed rakhta hu ki "Aashurah" ka roza unsab Gunaho ka Kaffara ban jaaye gaa jo ki guzre huwe Ek saal ke andar Jitne Saghira Gunah huwe hain.
⦁ zrat-e-Ibn-Abbas RDU Farmate hain. Main ne Rasool Allah SWL ko "Aashur, Ramazan" ke rozon ke elawa kisi aur rozon ka is qadr Ehtamam karte nahi dekha.
⦁ Mas'alah : Shuru zamana-e-Islam Yani jab Islam phail raha tha us waqt ye roza " Aashura" ka farz tha. Magar Ramzan ke rozon ki farziyat ke baad ye mansookh, Khatm ho gaya. Albattah uska Istehbaab aur Fazilat abhi bhi baqi hai. Jiski Daleel ye hain ki Rasool Allah Aakhri Umar tak uska Ehtamam farmate rahe. Hazrat-e-Hafsah farmati hain. 4 chaar cheezein Allah ke Rasool kabhi tark nahi farmaya karte the.
(1) Aashurah ke Roze (2) Ushrah Zil-Hijjah ke Roze (3) Har Mahine ke teen din "Aiyame Abyaz" ke Roze (4) Fazr se pehe ki 2 sunnatein.
⦁ Magar chunki Us roz Yahoodi bhi roza rakhte the Isliye Unki Musha-bahat se bachne keliye Aap ne apni rooh parwaz hone se Ek saal pehle Irshad farmaya tha. Tum Yom-e-Aashura ka roza rakho ! Lekin Yahoodiyo ki Mukhalifat karo ( woh is tarah ) Ek din pehle ya phir Ek din baad rakho. Isliye 10th Daswin Tareekh ke sath 9th ya 11th tareekh ka roza milana chahiye taki Yahoodiyo ki mukhalifat ho jaaye.
0 Comments
मेरे प्यारे दोस्तों ! यहां पर आप कोई ग़लत बात कमेंट ना करें। सिर्फ पोस्ट से संबंध कमेंट करें।