Mout Aane ka Bayan
⦁ Duniya ke sab logon ko Chahe woh jis Dharm se Taaluque rakhta ho unko is baat par yaqeen hai ki Ek na ek din is Duniya se jaana hai Mout Aani hai. Poori Duniya ke andar sirf yahi ek cheez hai ki jis mein Etaraaz, Ikhtilaf nahi hai. Har Skakhs jaanta hai ki use ek din zaroor is Duniya ko Alvida karni hai. Lekin Hum log Duniya ki masroofat mein is tarah Ghafil hain ki Aakhirat ki kuchh parwah nahi hai.
Mere Azeez Bhaiyo ! Hamen ye bhi pata hai ki Allah tala ne khud Qur'an sharif ke andar irshad farmaya hai ki " Duniya ki har jaandar cheez ko Mout ka maza chakhna hai" Hamen Chahiye ki apni aakhirat ko bhi duniya mein rah kar sawar ne ki koshish karni chahiye. Kyonki Ek din sab ko is Duniya ko chhod kar wahan jaana hai aur hamesha wahein rahna hai.
Duniya mein kis tarah rahna chahiye.
⦁ Prophet and dear messenger of Allah Hum logon ke piyare nabi Huzoor Mohammad SWL Irshad farmate hain ki Duniya mein aise raho jaise Musafir. Yaani jis tarah Ek ajnabi shakhs hota hai aur Rastah ke khel tamashon mein nahi lagta hai ki kahin aisa na ho ki Manzil-e-Maqsood tak na pahuch paaye. Isi tarah har ek Musalman ko chahiye ki Duniya mein phanse aur naahi aise Ta'allu-qaat paida kare Asli Maqsad hasil karne mein rukawat bane. Aur Mout ko kasrat se yaad kare. Duniyawi Masroofaat se bachne keliye Mout ko ziyada se ziyada yaad kiya karen Kyonki Mout ki yaad Duniyawi ta'allu-qaat ko kaatti hai.
Kab Mout ki Aarzoo kar sakta hai.
⦁ Hadith Sharif mein Aaya hai [ main arabic text nahi likhuga kyon ki bahut log padhne mein galti kar dete hain. ] Laz-zaton ko kaatne wali mout ko kasrat se yaad karo. Magar kisi Musibat mein mout ki aarzoo na kare kyonki Iski bahut Mu'maniyat aayi hai. Musibato se jab tang aajaye to Rab ki bargah mein is tarah ke Alfaz kahen. Yaa Allah mujhe zinda rakh jab tak zindagi mere liye kair, achhi ho aur mout de jab mout mere liye behtar ho. [ in Bhukhari-o-Muslim ] Aise haalaat par Musalmano ko chahiye ki Allah tala se nek gumaan rakhe uski rahmat ka umeedwar rahe.
Hadith sharif ke andar aata hai ki " koi na mare magar is haal mein ki Allah Tala se nek gumaan rakhta ho " Yaani jo bhi mare Allah se nek gumaan rakhta huwa mare Kyonki Allah tala ka farman-e-Aalishan hai. Allah farmata hai "Mera banda mujh se jaisa gumaan rakhta hai main usi tarah uske saath pesh aata hun."
⦁ Huzoor SWL Ek jawan shakhs ke paas tashrif le gaye aur woh jawan marne ke qareeb the. Allah ke Nabi SWL ne farmaya tum apni aap ko kis haal mein paate ho. usne arzz kiya Yaa Rasool Allah ! Allah se umeed hai aur apne gunahon se dar. Us Waqt Huzoor SWL ne farmaya ye dono Yaani "Umeed aur Dar" Is moqa, waqt par jis bande ke dil mein honge Allah use woh degaa jis ki woh Umeed rakhta hai, Aur us se aman mein rakhegaa Jis se woh Darta hai.
⦁ Rooh nikalne ka waqt bahut sakht waqt hota hai. Usi par Duniya ke saare amal ka madar, bharosah hai. Is waqt murde ko talqeen, bar-bar uske paas kalima padhte rahna chahiye take wah bhi sun sun kar padh le. Hota ye hai ki Jab Insaan ki "Rooh" nikalti hai to itni sakhti hoti hai ki Insaan Us sakhti ki wajah se sab kuchh bhool jaata hai. Aur Dusri taraf "SAITAN" khada hai Imaan lene keliye. Shaitan Us waqt bhi Insaan ko nahi chhodta hai was-wasa dalte rahta hai. Jab tak Rooh na nikal jaaye Imaan lene ki fikr mein rahta hai. To Isilye hamen chahiye ki Murde ke paas "Kalimah, Qur'an ki Aayat " Padhte rahe.
Mere Piyare Aaqa ki Piyari Hadith-e-Paak hai. Allah ke Nabi farmate hain. Jis ka Aakhri kalam " LAA ILAAHA IL-LALLAH " ho Yaani Kalim-e-Taiyib ho to woh Jannat mein dakhil huwa.
Jab Mout Qareeb Aaye to Kiya kare.
Mas'alah : Jab mout qareeb aaye aur nishniyan paayi jaaye to Sunnat tariqah ye hai hki Dahini karwat, right side par litaaa kar Qiblaa, Pach-chhim ki taraf chehra kar den. Aur ye bhi jaayiz hai ki chieet litayen aur Qibla ki taraf paao ko kare kyonki is tarah bhi kar ne se Qibla ki taraf chehra ho jaaye gaa. Jab Pair Qibla ki taraf ho to chahiye ki Siraane ki taraf Takiya de dain taki sar uncha ho jaaye aur chehra, Munh Qibla ki taraf ho. Aur agasr qibla Munh karna Dushwar ho ki Usko takleef hoti ho to jis haalat par hai usi tarah chhod den.
Kalima Talqeen Kaise karen.
⦁ Talqeen kise kahte hain ? Jab aap dekh rahe ho ki Jaakani ka waqt hai jab tak rooh gale ko na aaye use talqeen karte rahenge. Yaani Uske paas baland awaaz se padhein ! "ASH-HADU ALLA ILAAHA IL-LALLAHU W ASHADU ANNA MOHAMMADAN ABDUHU W RASOOLUH" Magar use kahne ka hukm na den.
Mas'alah : Jab Usne kalima padh liya to talqeen moqoof kar dein. Haa agar kalima padhne ke baad usne koi baat ki to phir talqeen karn ki uska Aakhri kalam Kalimah hona chahiye.
Mas'alah : Talqeen karne wala kaisa aadmi hona chahiye ? Talqeen karne wala Koi Nek shakhs ho aisa na ho jis ko uske marne ki khusoo ho Aur uske paas Us waqt nek Aur parhezgaar logon ka hona bahut achhi baat hai aur us waqt Soora-e-Yaaseen sharif ki tilawat aur Khusboo hona mustahab hai jaise lobaan ya agar ki battiyan sulga den.
Rooh Nikalne ke baad kya kare ?
Mas'alah : Jab Rooh nikal jaaye to ek chourdi patti Jabde "Daadhi ki niche" se sar par le jaa kar Bandh den taki Munh khula na rahe aur Aankhein Band kardi jaaye, Ungliyan aur Paaon sidhe kar diye jaaye. Ye kaam Maiyat ke ghar walao mein se koi kare Jo ki narmi ke saath kar sakta hai. Chahe Baap ya Beta koi bhi kare lekin narmi ke saath.
0 Comments
मेरे प्यारे दोस्तों ! यहां पर आप कोई ग़लत बात कमेंट ना करें। सिर्फ पोस्ट से संबंध कमेंट करें।