Ticker

6/recent/ticker-posts

Ad Code

Moharram-Ul-Haram Ki Azmat-O-Fazilat in Hindi by rbn

  Moharram-Ul-Haram Ki Azmat-O-Fazilat




  Moharram Islami Saal Ka Pehla Mahina Hai, Isi se Islami Saal ki Shruaat Huwi hai. Un Char B-Barkat Mahino mein se hai Jinko Allah Tala ne Is Duniya ko Banate Time hi Badi Izzat-O-Ehtaram Aur Ehmiyat Ataa Farmayi Hai Jaisa Ki Allah Tala Khud Qu'an Sharif Ke Andar Irshad Farmata Hai. 

⦁ Haqiqat Yeh hai ki Allah ke nazdeek Mahino ki tadaad 12 Mahine hain. Jo Allah ki Kitaab [ Lohe Mehfooz ] Ke Andar usi din se nafiz ho kar chali aarahi hai, Jis din Allah Tala ne Zameen-O-Aasman ko banaya tha. Islami Saal ke 12 Mahino mein se 4 Mahine Hurmat wale hain Yani Us Ladayi Fighting Jhagda mana hai. 

⦁ Mere Islami Bhaiyo ! Is Aayate Karima se Haqiqat wazeh ho jaati hai ki Islami 12 Mahine ke Saal Khud Allah Tala ne Muqar-rar Farmaya hai. Jisse Islami Saal ki Qadr-o-Qimat Aur Ehmiyat wazeh hoti hai. Isi tarah usse yeh bhi Maloom Huwa ki Un 12 Mahino mein se 4 Mahine Hurmat [ Yaani Azmat Aur Ehtaram ] wale hain. Unko Ashhurul Hurum bhi kaha Jaata hai. Inka Zikr Haditho ke mukhtalif jagaho par aaya hai. Jaisa ki Bukhari Sharif mein hai ki

⦁ Prophet of Allah Mohammad SWL ne "Hajjat-ul-wida" ke mauqa par Irshad farmaya ki zamana ab apni usi shakl-o-soorat mein wapas aagaya hai Jo Us waqr thi Jab Allah Tala ne Aasman-o-Zameen ko paida farmaya tha. Saal 12 Mahino ka hota hai, Un mein se 4 mahine Hurmat [ yanin Azmat aur Ehtram ] wale hain, Teen Mahine Musalsal hain [ yani pehla "Zul Qaada, Zul Hijjah, Rajab" ] Jo Jumadus Saani Aur Shaban ke Darmiyan hai.

 [ Saheeh Bukhari-O-Muslim Sharif ]
⦁ Imame Muslim ne Hazrate Abu-horera se riwayat naqal karte hain ki aap ne Irshad farmaya. Ramzan sharif ke Mahine ke baad Sab se afzal roze Allah ke us mahine ke hain  jis ko tum Muharam Kahte ho. Aur Farz Namazo ke baad sab se afzal namaz Tahajjud ki Namaz hai.

⦁ Is Hadis paak mein Allah ke Nabi Huzoor Mohammad SWL ne Muharram-Ul-Haraam Ko Allah ka Mahina kaha hai. Jo Is Mahina ki Azmat aur Fazilat par dalaa-lat karta hai. 

Post a Comment

0 Comments

Ad Code