Kitabul Janayiz
Bimari Niyamat Hain🔎 : Bimari Bhi Ek Bahut Badi Niyamat Hai Us ke fawayid be_Shumar hain. agarcheh kisi Aadmi ke dekhne se usko taklwwf pahunchti hai
Mere Azeez Bhaiyo ! Bimari Ek Allah Tala ki Bahut Badi Niyamat Hai. Iske Fawayid Be-shumar hain. Agar-cheh Aadmi ko dekhne mein lagata hai ki Bimari se bahit Takleef Pahunchti Hai. Magar Asal mein Insaan ko Bimari ki Halat mein Raahat-o-Aaram ka Ek Bahut Bada Zakhira Hasil Hota Hai.Ye zahiri Badni Bimari jisko Log Bimari Aur Musibadt Samajhte Hain Haqiqat mein yeh Roohani Bimariyo ka zabar-dast Ilaaj "Elaaj" Hai.
Asli Bimari Kiya Hai. Haqiqat mein Asli Bimari to Roohaniya Bimariyan Hain. Ki Albat-tah Yeh Bahut Khauf ki cheez hai Aur Ise Muhlik Samajhna chahiye. Chahiye to yeh ki Insaan Bimari aur Musibat ko Bhi Allah ki Niyamat ki tarah Khushi-Khushi Qubool Kare Nahi to Kam-se-kam Itna to Zaroori hai ki Sabr-o-Istiqlaal se kaam le Aur Ghabrahat Aur Be-sabri kar ke MILTE HUWE SAWAB Ko Haath se na khoye. Bahut Saare Naadan Log to Bimari mein Bihayat Be-Jaa Kalima Bol Uthte hain. Balki Kuchh Kufr tak Pahuch jaate Hian. Allah Tala ki Taraf Zulm Ki Nisbat Kar dete Hain.
Bimari Or Musibat Se Kya Fayiden Hain ?
Mere Piyar Aaqa ki Piyar Hadith Sharif Hai. Aap Ne Farmate Hai ki Musalman ko jo Takleef Waham, Huzn-o-Azeeyat Aur Gham Pahunche yahan tak ki Agar Kanta bhi chibhi to Allah Tala Us Taklif ke Badle Ajar Ata Farmata Hai. Aur Uske sabab Gunah Mita Diya Jaata Hai.
[ Bukhari-o-Muslim Sharif ]
Aur Ek Dusti Jagah par Mere Aap ke Piyar Aaqa Mohammad SWL Farmtate Hain ki Musalmano ko Jo Takleef Pahuchi Hia Bimari ho Ya Uske siwa Kuchh aur to Allah Tala Uske Gunaho ko Gira deta hai jaise Darakht ke patte jhadte hain.
[ Saheeh Bujhari-o-Muslim Sharif ]
Mere Islami Bhaiyo Agli Jo Hadith Sharif Aa rahi hai Uske Andar Kya Allah ke piyar prophet Mohammad SWL ne farmaya hai. Hazrat-e-Fatimah ke BaBa Jaan Farmte Hain Har Bandah Ke liye Allah Tala ki Bargaah mein Koi Maqaam, Martaba muqar-rar hota hai Aur Bandah Duniya mein rahte huwe Apne Aamal ke sabab se Us Maqaam ko Hasil na kar saka to Allah Tala usko Badan, Maalaal aur Aulaad mein Aazmata hai. Phir use Sabr Deta hai Yahan tak-ki Woh Banda Us Maqaam Tak Pahuch jaata hai Jo Uske liye Allah Tala ki Baragah mein hai.
Makki Aaqa ka farman hai Ki Jab Allah Tala Qayamat ke Din Bala [ Duniya mein Takleef-o-Mushaq-qat ] ko Sawab diya jaaye gaa to Duniya mein Aaram-o-Raahat Wali Zindagi guzaar ne wale tamanna karenge Ki Kaash Duniya mein Qaichiyo se unke Jism se Khaal ko Kate jaate.
0 Comments
मेरे प्यारे दोस्तों ! यहां पर आप कोई ग़लत बात कमेंट ना करें। सिर्फ पोस्ट से संबंध कमेंट करें।