• Aqaida Ka Bayan Allah Talaa Ki Zaat Aur Sifat Ke Aqide
  • Hidaayat-o-Gumrahi Kis Ki Tararf Se Hai.
  • Allah Talaa Par Kuchh Wajib Nahi.
  • Allah Tala Duniya Ko Kyon Paida Kiya ?
  • Allah Har Burayi se Paak Hai.
  • Nabi Aur Rasool Kise Kahte Hain.
  • Nabi kaise hone chahiye ?
  • Dunya mein Masoom kon hain ?
  • Wali ko Nabi se afzal manne ka hukm.
  • Pehla Insan aur Nabi kon Hia?
  • Mojaza aur Karamat mein kya Farq hai?
  • Farishto ka bayan.


Aqaid Ka Bayan
Allah Talaa Ki Zaat Aur Sifat Ke Aqide

  • Aqidah : Allah ek hai. Paak be-misl, be-aib hai. Har kamal o khoobi ka jaami hai koi kisi baat mein na uska shareek na bara-bar na usse badh kar, woh apni sifaat-e-kamaliya ke saath hamesha se hai aur hamesha rahega. Hameshgi sirf usi ki zaat aur sifaat keliye hai us ke siwa jo kuchh  hai pahle na tha jab usne paida kiya to huwa. Woh Apne Aap Hai Us Ko Kisi Ne Paida Nahi Kiya Na Who Kisi Ka Baap Na Kisi Ka Beta Na Yske Koi Biwi Na Rishtedar Sab Se Be-Niyaz Hain. Woh Kisi Baat Mein Kisi Ka Mohtaaj Nahi Aur Duniya ke Sab Uske Mohtaaj Hain. Rozi Dena, Maarna, Jeelana Usi Ke Ikhtiyar Mein Hai. Who Sab Ka Maalik Hai Jo Chahe Kare Uske Hukm Mein Koi Dam Nahi Maar Sakta Hai.

 

 



Hidaayat-o-Gumrahi Kis Ki Rarf Se Hai.

  • Hidaayato Gumrahi [Yaani Achhai Aur Burai] Usi Ki Taraf Se Hai Jise Chahe Imaan Naseeb Ho  Chahe Kufr Mein Mubtala Ho. Woh Jo Karta Hai Hikmat Hai, Inasaaf Hai. Musalmano Ko Jannat Ataa Kare Gaa. Kafiron ko Dozakh Mein Azaab Kare Gaa. Uska Har Kaam Hikmat Hai Bande Ki Samajh Mein Aaye Yaa Na Aaye Uski Nimate Uske Ahsaan Be-Intihaa Hain. Wahi Is Layique Hai Ki Uski Ibaadat Ki Jaaye Uske Siwa Dusra Koi Ibaadat Ke Laayique Nahi….

 

 

Allah Talaa Par Kuchh Wajib Nahi.

  • Aqidah : Allah Taala Ke Zim-me Kuchh Wajib Nahi Na Sawab Dena Na Aazab Karna Na Who Kaam Karna Jo Bando Ke Haque mein Mufeed Ho Isliye Ki Woh Maalik Sare Jahan Ka Jo Chahe Kare Jo Chahe Hukm De. Sawab De To Fazl, Azaab Kare To Adl [Insaaf] Hai. Haan Allah Taala Ki Mahabani Hai Ki Allah apne Bando Ko wahi Hukm Deta Hai Jo Banda Kar sake. Zaroor Rab Tala apne fazl-o-Karm se Musalmao Ko Jannat Ataa Kare Gaa Aur Kafiron Ko apne Adl se Jahannam mein Daale Gaa. Isliye Ki Usne Wada Farma Liya Hai Ki Kufr ke siwa Jis Gunah Ko Chahe Gaa Muaaf farma Degaa. Aur Allah Tala ke wade Badalte Nahi Hai. Isliye Azaab-o-Sawaab Zaroor Hoga….

 

Allah Tala Ne Aalam [Duniyan] Ko Kiyon Paida Kiya Hai 

  • Allah Tala Apna Fazl-o-Adl, Qudrat-o-Kamaal Zahir Karne Keliye Makhlooque “Insaan” Ko Paida Kiya. Aqidah : Allah Tala Ke Har Kaam Mein Bahut Hikmatein Hian Hamari Samajh Mein Aaye Ya Na Aaye Yeh Uski Hikmat Hai Ki Duniya Mein Ek Cheez Ko Duri Cheez Ka Sabab Tharaya Hai. Jaise Aag Ko Garmi Pahunchane Ka Sabab, Paani Kok Sardi Pahunchane ka Sabab Banaya Hai. Aankh Ko Dekhne Keliye Kaan Ko Sunne Keliye Banaya Agar Woh Chahe to Aag sardi, Paani garmi De Aur Aankh sune, Kaan dekhe…..____________________

 

Khuda Har Aib Se Paak Hai.

  • Aqidah : Khuda keliye har aib  aur naqs muhaal hai. Jaise jhoot, Jahal, Bhool, Zulm, Be-Hayai etc tamam Buraiyan Khuda Keliye Muhaal Hain. Mere Piyare Dosto ! Agar Koi Shakhs ye samjhe ki Khuda Aib Bol Sakta Hai Lekin Bolta nahi. Woh Kafir Hai ._________

 

Bure Kaam Ki Nisbat Kis Ki Taraf Kijaye.

  • Mas’alah : Bura Kaam Kar Ke Ye Na Kahna Chahiye Ki Khuda Ne Chaha to huwa Taqdeer mein tha to Kiya Ye Be-Adbi Hai. Balki Hukm Ye Hai Ki Achhe Kaam Ko Kahe Ki Khuda Ki Taraf se Huwa Aur Bure Kaam Ko Apne Nafs Ki Shararat Jaane.

 

Nabi Aur Rasool kise kahte hain ?

  • Mere Azeez Dosto !  Jis Tarah Allah Tala Ki Zaat Aur Sifaat Ka Jaan-na Zaroori Hai Usi Tarah Ye Bhi Jaan-na Laazmi Hai Ki Nabi  mein Kiya-Kiya Batein Honi Chahiye Aur Kiya Na Hona Chahiye Taki Aadmi Kufr se Bacha Rahe .

  • Rasoo Ke Meaning In Roman English.
  • What is definition of prophet, Rasool SWL.
  • Rasool Ke Maane Hain Khuda Keyah se Bando Ke paas Khuda ka Paigham Laane wala.

 

Nabi Kon Hota Hai ?

  • Nabi woh Aadmi jiske paas wahi Yaani khuda ka paigham Aaya logo ko khuda ka rasta batane keliye. Chahe ye paigam Nabi ke paas Farishta lekar Aaya ho Yaa phir Khud Nabi Ko Allah Ki Taraf se uska Ilm huwa ho

 

 

Nabi Ka Chaal Chalan Shakl-o-Soorat Kya  Hain ?

  • Allhal Tala Duniya mein apne Bando Ki Hidayat Keliye Jitne Prophets Paighamber Bheja. Har Ek Nabi Ka Chaal Chalan, Shakl-o-Soorat, Hasab Nasab, Taur Tariqa, Baat cheet Sab Cheez Achhe Aur Be-Aib Hote Hain . Jo Allah Ke Nabi Hote Hain woh sab Aadmiyo se ziyada Aqal-mand hote hian. Pure World ke Bade-Bade scientist, Researcher, Scholar, Doctors, Hakeem, Falsafi ki Aqal Nabi Ki Aqal Lakhen Hissa tak bhi nahi pahunch sakti hai. Jo Banda Ye Maane ki Koi shakhs Apni Koshish-o-Mehnat se Nabi Hosakta hai woh kaafir Hai. Aur jo ye Samjhe, Maane ki Nabi Ki Nabuwat chhini jaa sakti hai woh bhi kafir hai…_______________

 

 

Duniya mein Masoom Kon Hote Hain ?

  • Mere Dosto ! Pahle Aap Maasoom Ka Matlab,Meaning Samjhe Uske Baad Aap Pata Kare Ki Masoom Kon-Kon Hain. Agar Poori Duniyan mein research, Gaur-o-Fikr ki jaaye Allah Tala ki Kam-o-Besh 18,000 Eighteen Thousand Makhlookat Par to pata chalta hai ki Maasoom sirf  Allalh Ke Nabi Aur Farishte Hote Hain. Nabi Aur Farishte Ke Siwa Kisi Imam, Wali ko Masoom Manna Gumrahi Bad-Mazhabi Hai. Agar-chi Imamo Aur Bade-Bade Waliyo se bhi Gunah Nahi Hota Lekin Kabhi Ho Jaaye to sharan Muhaal Bhi Nahi. Yaad rahe Mere Dosto Bahut se Log aisi soch lekar chalet hain Koi cheez pareshani aane par ye samajhte hain ki Allah ka paigam pahunchane mein Nabi “messenger of Allah” se koi bhool hogayi hogi.
  • Khabar-Daar Mere Azeez Bhaiyo. Allah  Ka Paigam Pahunchane Mein Nabi se Bhool-chook Nahi ho sakti Muhaal Hai. .._________

 

Wali Ko Nabi Se Afzal Maan-ne Ka Hukmk..

  • Mere Dosto Yaad rahe Duniya mein kitne hi Bade martabe wala Wali kiyon na ho Kisi Nabi Ke Barabar Nahi ho sakta. Jo kisi Gair Nabi “Nabi Na Hona” Ko Nabi se afzal bataye woh kafir hai. Tamam Nabi ki Tazeem, Izzat har Musalman par Farz-e-Ain Hai. Allah Rab-ul-Izzat ke nazdeek Nabiyo ka maqam bahut bada hai..__________

 

Nabi Ki Hayaat “Anbiya Alaihis Salam Ke Zindagi Kya Hai..?

  • Duniya mein abtak kam-o-besh  Ek Lack Ya Taqreeban Do Lack Anmiya-e-Kiram Tashrif Laaye. Aur sab Anbiya Alaihis Salam apni apni Qabro mein usi tarah zinda hain jaise Duniya mein the. Allah ka wada poora hone keliye Ek Aan “one time” unhe Maut aayi phir zinda hogaye. Unki zindagi shahido ki zindagi se bahut badh kar hai..____________

Nabi Ke Baare Mein Kaisa Aqida Rakhna Chahiye…?

  • Aqidah : Allah Tala Ne Anbiya Alaihis Salam Ko Gaib Ki Baten Bataayen. Zameen-o-Aasman ka har-har zarrah Nabi ki nazro ke samne hai. Ye Ilm-e-Gaib Allah ne apne Nabiyo ko Ataa Farmaya hai. Lehaza Ye Ilm Ataayi Howa Aur Allah Tala ka Ilm kisi ka diya howa nahi hai Balki Khud use haasil hai Yaani Zaati Ilm hai.
    Mere Dosto Ab Jab ki Allah Tala ke Ilm Aur Rasool ke Ilm Ka Farq maloom ho gaya to zaahir ho gaya ki Nabi-o-Rasool keliye Khuda ka diya howa Ilm-e-Gaib ka Manna shirk nahi ha. Balki Imaan hain Jaisa ki Qur’an ki Aayato Haditho se sabit hai.
    Aqidah : Koi Allah Ka Banda Mohammad Rasool Allah SWL Ki Ummati Neki-o-Paharhez-gaari aur Ibaadat mein Nabi se nahi badh sakta. Jo Nabi hote hain sote jagte har waqt Allah ki yaad mein lage rahte hain.
    Aqidah : Yaad rahe mere Doste ! Anbiya ki t’adaad Maqarar “Counting” karni na-jaaiz hai. Unki puri Tadaad ka sahi Ilm, Jankari Allah hi ko hai….___________
  • Mere Dosto Ab Jab ki Allah Tala ke Ilm Aur Rasool ke Ilm Ka Farq maloom ho gaya to zaahir ho gaya ki Nabi-o-Rasool keliye Khuda ka diya howa Ilm-e-Gaib ka Manna shirk nahi ha. Balki Imaan hain Jaisa ki Qur’an ki Aayato Haditho se sabit hai.
  • Aqidah : Koi Allah Ka Banda Mohammad Rasool Allah SWL Ki Ummati Neki-o-Paharhez-gaari aur Ibaadat mein Nabi se nahi badh sakta. Jo Nabi hote hain sote jagte har waqt Allah ki yaad mein lage rahte hain.
  • Aqidah : Yaad rahe mere Doste ! Anbiya ki t’adaad Maqarar “Counting” karni na-jaaiz hai. Unki puri Tadaad ka sahi Ilm, Jankari Allah hi ko hai…._______

Anbiya Ka Muqam
Sab se Pahla Insan Aur Sab se Pehla Nabi Kon Hai.

  • Islam mazhab ke andar sab se pehla insan allah ka paigambar hazrt-e-aadam alaihis salam hain. Inse pehle insan ka wajood na tha, aaj duniya mein jitne bhi insan, aadmi hain sab unki aulad hain. Isi wajah se aadam alaihis salam pehle nabi hain. Allah tala ne inko be-maan baap ke mitti se paida farmaya apna khalifa banaya.  Duniya ke tamam cheezo ke name ilm diya aur allah ne farishto ko hukm farmaya ki aadam ko sajda karo ! Sab farishte ne sajda kiya lekin shaitan ne sajda nahi kiya usne sajda karne se inkar kardiya aur hamesha keliye woh mal-oon,mardood aur shaitan ho gaya. Hazrat-e-Aadam Alaihis Salam se lekar Hamare Nabi Mohammad Rasool SWL tak bahut Nabi aaye. Lekin Mohammad SWL sab Nabiyo ke sardar hain ab Inke Baad koi Nabi nahi hoga.
  • Aqidah : Jo Shakhs Hamare Nabi ke baad Ya Aap ke zamane mein kisi aur ko Nabi mane Ya Nabuwat milne jaayiz jaane woh kaafir hai.!!!!______


Nabi Ki Kisi Cheez Ko Halka Jaanne Ka Hukm.

  • Aqidah : Huzoor Ke Kisi Qaul, Kaam,Amal, Haalat Ko Jo Hikarat Ki Nazar se Dekhe Kafir Hai.


Mojaza Aur Karamat Mein Kiya Farq Hai ?

  • Duniya mein woh Ajeeb-o-Gareeb, Hairan Kun Kaam Jo Aadatan Kisi Aam Insan se zahir hona muhaal ho use Ambiya Alaihis Salam Apni Nabuwat ke suboot mein pesh kare aur Usse Inkar karne wala Aajiz ho jaaye, woh Mojaza Hain. Jaise Mara huwa Insan ko zinda karna, Ungli ke ishare se Chand ke do tukde karna. Aisi Ajeeb-o-Gareeb Baat Agar kisi Wali se zahir ho to use Karamat Kahte hain. Allah ka inkar karne wale, ni-dar ya Kaafir se ho to use Istidraaj kahte hain.
  • Mere Dosto ! Yaad rahe Mojaza ko dekh kar Nabi ki sach-chayi ka yaqeen hota hai. Aur jiske paas Allah ki aisi nishaniya ho yaqeen hai ki woh Allah ka bheja huwa Nabi hain. Allah kisi gair ko Mojaza ataa nahi karta…._____________________

Malaika “Farishto Ka Bayan”

  • Farishte noori jism ki makhlooq hian. Allah Tala ne Farishto ko Noor se paida farmaya hai. Jinko Allah Tala ne ye taqat di hai ki jo shakl chahe ban jaayen Insan ki ho ya phir kisi aur cheez ki. Farishte Allah tala ke hukm ke khilaf kuchh nahi karte na-jaan boojh kar na-bhool kar Isliye ki Masoom hain. Har Qism ke Gunah-e-Sagira, Kabira  se paak hain. Allah Tala ne bahut se kaam Farishto ke sapurd kiye hain. Koi Farishta Jaan nikaal ne par muqarrar hai to koi paani barsa ne par, Koi Maan ke pet mein bach-cha ki soorat bana ne par, Koi Nama-e-Aamal par likhne par koi kisi kaam par koi kisi kaam par. Jo Farishte hote hain na woh Mard hote hain na Aurat hote. Inko Qadeem Manna ya Khalique manna Kufr hai. [ Yani Ye Manna ki Use Kisi ne paida nahi kiya woh pehle se hain. Yaa phir use Khalique yani paida karne wala manna] Kufr hai. Kisi Farishta ki zarasi Be-adbi bhi kufr hai. “Aalam-geeri mein hai”
  • Duniya mein kuchh log apne Dushman ko ya Zaalim ko kabhi-kabhi Mala-kul-Maut kah dete hain. Aisa kehna na-jaayiz hai Kufr ke Qareeb hai.Farishto ke wajood ka inkaar karna ya yeh kehna ki Farishta sirf Neki ki quwat ko kehte hain. Ye bate bhi kufr hain…______________