• Burhani Ki Tareef.
  • Fazilat-e-Rasool SWL.
  • Islam Ka Dawa.
  • Islami Ki Daleel.
  • Zindo Ka Kalimah.
  • Mushrik Ki Qismaini.
  • Tablig Ka Tariqa Kya Hai.
  • Rasool Ka Zikr Allah Ka Zikr Hai.
  • Ibadat Ka Jazba Insani Fitrat Hai.




Burhaan Ki  Tareef.

Mere Azeez Dosto ! Abhi abhi uper Ek Qur’an-e-Muqaddas Ki Ek  Aayate Mubaraka Tilaawat Karne Ka Sharf Haasil Kiya Hai, Uska Asaan Tarjuma Bhi Likh diya gaya hai..  Ki “Tumhare Paas Burhaan Aagaya”  Arabic Subject Ke Maahir Log to Jaante Hi Hain Ki “Burhaan” Kya Cheez Hoti Hia. Burhan Kahte Hian “Daleel, Hujjat, Proof, Saboot, Gawahi ko. Aur Uper Qur’an Ne  Farmaya “Tumhare Paas Daleel Aagayi. Is Daleel se kya muraad hai. Islam Ke bade –Bade Research Karne waale Mufassireen-e-Kraam Farmate Hian. Is Aayate Kareema mein Burhaan Yaani Daleel se Muraad Prophet Muhammad SWL Ki Zaati-Gramee Hia.
_______________________________________________
_______________________


Fazilat-e-Rasool SWL

  • Allah Tala Quran mein irshad fermata hai.
  • [Yaa Ayyuhan-Naasu Qad Jaa-akum Burhanum-Mir-Rabbi-Kum Wa Anzalnaa Ilai-Kum Nooram-Mubinaa] [Sura-e-Nisaa]

Tarjuma : Allah Farmata Hai Ai Logo! Be-Shak Tumhare Paas Allah Tala Ki Taraf Se Waazeh Daleel Aayi Aur Hum Ne Tumhari Taraf Roshan Noor Utara…. Yaqeenan Tumhare Paas Rab Ki Jaanib Se Burhaan Aagaya Aur Hum Ne Tumhari Taraf Noor-E-Mubeen Ko Nazil Kiya…

Mere Piyar Dosto ! Aayiye Ek Bar Nabi Ki Bargah Mein Durood Sharif Padhne Ka Sharf Haasil Karlen.
Allahum-Maa Salle-Alaa Saiyidina Muhammad.
Wa Alaa-Aalee Saiyidina Muhammad .
Sallallahu Alaihi Wasallam.
_____________________________________________________________________________

Islam Ka Dawa:

Qur’an-O-Hadees ki Roshni mein hamain faisla karna hai Ki Prophet Mohammad SWL Daleel Hian to Kis Dawe Ki Daleel Hain. Islam Mazhab Ka Dawa hai “Laa-Ilaaha Aur Is Dawe ki Daleel Hain Muhammadur-Rasool-Allah.  Tauheed,Allah Ki Zaat-o-Sifaat Yaani Laa-Ilaaha Dawaa Hia, Aur Risaalat Yaani Muhammadur-Rasool-Allah  Daleel Hai.
__________________________________________________________________________________

Islam Ki Daleel :

  • Mere Piyar Bhaiyo ! Aap sabhi Jaante Hian ki Puri Kaynat Ka Ye Qanoon, Rules Hai ki Daawe Ko Samjhane Keliye Daleel Ko Samjhane Ki Zaroorat Hoti Hai. Aisi Bato se Inkaar Karne walo ka Mizaaz Ye hota Hai Ki Ager Daawe Ko Nahi Manna chaha to Daleel Ke Under Ghalti, Khami, Kami Nikalte Hain, Aur Bolte Ye Kaise Daleel Hai, Ye To Bahut Kamzoor Daleel Hai, Ismein Aib Hai, Kami Hian..  Maloom Ye Hota Hai ki Daawe Se Koi Nahi Ulajhta, Ulajhte hain to sirf Daleel se ulajhte hain. Ladte hain to sirf Daleel se ladte hain. Isi liye hum ziyada taur par Dekhte Hain “LAA ILAAHA se Koi Nahi Takarta huwa nazar aata, Koi bhi Ulajhta Huwa Nazar Nahi Aata. Balki Jo Bhi Ulajh raha hai wo MUHAMMADUR-RASOOL-ALLAH se Ulajhta Takarta Huwa Nazar Aata Hai.. Yaad Rakho Mere Dosto ! Agar Daleel Toot Gayi To Dawa Bhi Toot jaaya Karta Hai..

  • Shaitan ko bhi Dawa Se Koi Ulajhan Nahi Paida Huwi thi, Jab tak Dawaa Uske Kaan Tak Tha Us Waqt Tak Usko Koi Uljhan Nahi Paida huwi thi. Laa Ilaaha se Shaitan Inkaar Karne Wala Nahi tha.  Agar wo Laa Ilaaha Yaani Dawa Ka Inkaar Karne Wala Pahle se hi hota to Malaika “Farishto” Ki Jamaat mein Kaise Shamil Kiya Jaata. Inkaar Karne Wala Hota to Jannat Ki Khushbu-daar Hawa Kaise Us tak Pahunch sakti. Shaitan Dawa Ka Inkar Karne Wala Kabhi Nahi tha. Jab Imtihaan “Exam” Ki manzil Aayi to Shaitan se kaha gaya Tum Dawa ko Daleel Ki Roshni Mein Maante Ho Ki Nahi ?  Shaitan Inkar Kar gaya.

  • Dosto ! Zaahir Hogaya Ki “Muhammadu-Rasool-Allah Daleel aur Laa Ilaah Dawa hai. Lehaza Jo Daleel Ka Inkar Karne wala Hoga wo Dawa Ka Inkaar Karne wala Samjha jaayega.

“In-kun-tum Tuhibboon-allaha Fattabi-oonee”
Agar Tum Log Allah Ko Mahboob Rakhna Chahte ho to Meri Ittiba, Follow Karo, Meri Pairwi Karo.
 Muhabbat Ho Khuda se.
Pairwi Ho Mustafa Ki.

  • Imtihaan Aise Hi liya jaata Hai Mere Dosto ! Ye to hosakta hai ki ek shakhs Khuda ki Muhabbat Ka Dawa Kare Magar Rasool Ki Muhabbat Ka Dawa Na Kare…  Magar Aisa Ho hi Nahi Sakta Ki Koi Muhammad Rasool Ko Mane Aur Allah Tala Ko Na Maane. Aisi Koi Misaal Hi nahi mil sakti, Ye Na mumkin hai ki koi rasool ko chahe aur allah tala kko na chahe.
Ye Na-Mumkin Hai Ki Koi Sahabi Aur Ahle-Bait Ko chahe. Aur Rasool-e-Khuda ko na chahe.
Ye Na-Mumkin hai ki A’imma-e-Mujahideen ko manne wala Sahaba-o-Tabayeen Ko na Maane.
Ye Na-Mumkin hai ki Gaus-e-Jeelani, Khwaja Ajmeri, Data Ganj, Hazrat Shah Naqsh-band aur Buzrugan-e-Deen Ko Manne Wala Imaam-e-Aazam, Imaam-e-shafayi, Imam-e-Malik Aur Imam-e-Hanbal Ko Na Maane
  • Qur’an Kahta hai. “BURHANU-MMIR-RABBI-KUM” Ye Tumhare Rab Ki Daleel hai. Ab Is Daleel Ko todne keliye Yaa to Rab Tala ke bara-bar Knowledge, Ilm Le Aao.Yaa Usse Ziyad Ilm wala Le Aao. Aur Jab dono Chezein Mohal HainTo Us Daleel Ke under Aib Kami Ka hona Bhi Muhaal Hai.. Isliye Ye Allah Tala Ki Daleel Hai.
  • Zara soch kar batye is ko kaun tod sakta hai. Jise Khuda Sanware use Kaun Bigad Sakta Hai. Ye Tumhar Rab KI Daleel hai. Tum Bigadne ki koshish karo ge Lekin Nahi Bigad sakoge. Tumhar Muqaddar to Bigad sakta hai Magar ye Daleel Nahi Bigad sakti…

  • To “Laa Ilaha Islam Ka Dawa Hai, Aur Muhammadur-Rasool-Allah Uski Daleel Hai. Isi liye Daleel Ko Samjhaya jaata hai.
____________________________________

Qur’an bhi yahi andaz apnaya hai.Daleel Ko Pahle Manwaya Phir Dawa Ko.

Note :To Azeez Mohatram Dosto ! Pata Chala Ki Dawe Ko Na Manne wala Uski Daleel mein Hamesha Uljha Karta Hai..

 

Zindo Ka Kalimah:

“LAA ILAAHA ILLA-LLAHU MUHAMMADUR-RASOOL-ALLAH”
Nahi Koi Maa’bood Allalh tala ke siwa Muhammad SWL Allah ke Rasool Hain.
Sahbaye Kram ne bhi yahi padha ki Muhammad Allah ke Rsool hain.
Tabayeen ne bhi yahi padha ki Muhammad Allalh ke Rasool Hain.
Hum Bhi yahi padh rahe hain ki Muhammad Allah ke Rasool Hain.
Lafz “Hain, Hain” Bar-bar Aa raha hai, Jo ki Hamein Ye Bata Raha hai ki wo Mojood Hain. Main Un Logo se kaha chahta hun, Ye Kalilma to un Logo ka Hian jo Rasool Ke Wajood ko manta hao. Aur jo nahi manta Use chahiye ki Murdo wala kalmia padain.Ye to zindo ka kalmia hia.

Note :-  Batao bhai Isse Badi Koi Ahmaq wali Baat Hogi, Hamesha padhdte hain ki Prophet Muhammad SWL Allah Ke Rasool Hian. Aur kuchh log kahte hain ki Rasool thein. To main un logo se kahna chahta hun Bhai ! Rasool The” Wala Kalima le Aao. Past tense ka kalmia repair karo..
___________________________________________________
______________________

Mushreek Ki Qismein.

“LAA IALAH ILLA-LLAHU MUHAMMADUR RASOOLU-LLAH”
Ye Islam Mazhab Ka Pahla Kalima Hia, Jo ki Taqreeban Har Musalman Ko Yaad Hota Hai Kyonki Kisi Bhi Gair Muslim Ko Imaan Laane se pahle is kalmia ko psdhaya jaata hai.. Is kalmia ka Name Tauheed Hai.  Jab ki Is kalmia ke andar Tauheed Aur Risalat Dono hai.. LAA ILAAHA ILLA-LLAH Ka matlab Hai, ‘Nahi Hai Koi Maa-bood Allah Tala ke Siwa, Nahi Hai Koi Ibaadat ke layaq Allah Tala ka sewa’ Puri Tarah Zahir  Hogaya Ki Mera KHuda Wo Hai Jo Apni Khudaiyat mein “Wah Dahu Laa-Shareek Hai”  Lekin Mere Piyare Dosto ! Main Yahan Ye Batana Chahta Hum Ki Iska name Tauheed Kyon Rakha ?  Kalima-e-Risaalt kyon Nahi Rakha ? Ya phir Kalima-e-Tauheed Aur Risaalat Dono Kyon Nahi Rakha ?

“LAA ILAAHA IL-LAL-LAHU Ne Hamain Ye Samjhaya Ki Allah Tala Apni Ilahiyat mein Laa-Shareek Yani Koi Sharik Nahi Hia.. Aur “MUHAMMADUR-RASOOL-ALLAH” Ye Samjhaya Ki Huzoor Muhammad SWL Apne Kamalaat-O-Risaalat Aur Nabuwat mein ‘Wahdahu Laa Sharik’ Hai. Pahle Tauheed-e-Ilaahiyat hai Aur Dusra Tauheed-e-Risaalat Hai. Maloom huwa Mushrik Do Qism ke huwe Jo Allah Tala ki Zaat-o-Sifaat mein kisi ko shirk kare wo bhi Mishrik Aur Jo Rasool Ki Zaat-o-Sifaat mein Kisi Dusre Rasool Ko Sharik kar wo bhi Mushrik hai..
_______________________________________________________________________________


Tablig Ka Tariqa Kya Hai ?

 “Laa Ilaaha Il-Lal-Laahu” Dawat Hai, “Muhammadur-Rasool-Allah” Daayi Hain. “Laa Ilaaha Il-Lal-Laahu Ka Paigam Logo ke Samne Rakhne se pahle Rasool Ne Apne Ko Samjhaya Aur Apne Ko Manwaya . Arab Ki Sar-Zameen pa {rophet Muhammad SWL Ne 40 years Tak Khamosh aur misali zimdagi guzari aur uske baad Faaraan Ki Choti per se Apni Qaum ko Bulaya Aur Puchha Ki Tum Log Mujh ko Kiy Samjhte ho ?  Sabne Kaha “ Sadiq-o-Ameen, Sach-che Diyanat-Daar…  Algharz Sab Logo ne Bahut Tareef  ki..

Prophet Messenger of Allah ne farmaya ki jab tum log Sach-cha samjhte ho to ager  Main Ye Kahun Ki Us Pahaad Ki Pichhe Ek Lashkar Hai Jo Tumhein Tabah Kar Dena Chahta Hai. Meree Kahne se Manoge. Sab ne Kaha Ki Aap Kabhi Jhoot Nahi Bole Hain, Aap Kahen ge to Ham Maan Lenge. Mere Rasool ne Farmaya Ki Jab Mere Kahne se Tum Bi-Dekhe Lashkar Ko Maan Rahe Ho , To Mere Hi Kahne se Na-Dekhe Khuda KO Maan Lo.

Aur Farmaya Kaho “Qoo-Loo Laa Ilaaha Il-Lal-Laahu Taflahu” Laa Ilaaha Il-Lallahu Kaho Kaamyabi Paa Jaaoge. Huzoor SWL Ne Laa Ilaha Il-Lal-Laahu Ki Taraf Bulane se pahle Apni chaat Yaabi Apne Aap Ko Samjhaya Manwaya.
Isliye Ki
Laa Ilaaha Il-Lal-Laahu” Dawat Hia.
Muhammadur-Rasool-Allah”  Dayee Hai.
Laa Ilaaha Il-Lal-Laahu” Hidayat Hai.
Muhammadur-Rasool-Allah” Haadi Hain.
Laa Ilaaha Il-Lal-Laahu” Zikr Hai.
Muhammadur-Rasool-Allah”  Zakeer Hain.
Laa Ilaaha Il-Lal-Laahu” Irshad Hai.
Muhammadur-Rasool-Allah”  Murshid Hain
Laa Ilaaha Il-Lal-Laahu” Kalaam Hai..
Muhammadur-Rasool-Allah”  Mutakal-Lim Hain.

  • To Mere Dosto ! Baat Bilkul Zahir Hai Ki Jo Dayee Ko Na Mane Gaa wo Dawat Ko Kya mane gaa. Jo Haadi Ko Na Maane Gaa, wo Hidayat Ko Kya Maane Gaa. Jo Qail Ko Na Maane Gaa, Wo Qaul Kya Maane Gaa. Jo Zakir Ko Na Maane Gaa wo Zikr Ko Kaise Maan Sakta Hai.
  • Rasool Ne Tableeg Ka Jo Tariqa Hamain Diya Hia Wo Ye Hai Ki Pahle Zaate Risaalat Ko Samjhao Aur Manwao, Phir Log To Allah Tala ko To Khud Hi Manne Lagenge. Rasool Ki Risaalat Ko Tasleem Karne ke Baad Hi Allah Ki Tauheed Ki Dawat Ko Qubool Kiya Jaayega. Mere Piyare, Azeez Dosto ! Zara Aap Soch Kar Bataye Ki Ab Ek Tableeg Ka Tariqa Wo Hai Jis mein Rasool Ki Risalat, Azmat, Rifat ko nahi manwaya jaata hai, Balki Sirf Allah Ko Samjhane Aur Manwane Par Zor Diya Jaata Hai. To Bato Bhai Ye kaisa Tableeg ka Tariqa Hai. Ye Khud Ek Bid-at Hai, Jo Ki Bid-at-e-Saiah Ke Andar Shumar kiya Jaata Hai.
_________________________________________________________________

Allah Ka Zikr Rasool Ka Zikr Hai.

  • “Laa Ilaaha Il-Lal-Laah” Ye Rasool Ka Zikr hai Aur “Muhammadur-Rasool-Allah” Ye Allah Ka Zikr hai. “Laa Ilaaha Il-Lal-Laah” Ye Rasool Ka Kalaam hai Aur “Muhammadur-Rasool-Allah” Ye Allah Ka Kalaam hai. Qur’an Ke Ander Mein Bhi Allah Ne Farmaya Hai, Ai Mahboob ! [ Qul-Hu-Wallahu Ahad Allahus-Samad Lam-Yalid Wa Lam-Yoolad] Ai Mahboob Tum Kaho Ki Allah Tala Ek Hai, Tum Kaho Ki Allah Tala Be-Niyaaz Hai. Tum Kaho ! Na Wo Kisi Ki Aulad Hai Aur Nahi Uski Koi Aulad Hai.Allah Farma Raha Hai tum Kaho, Tum Kaho, Bar-bar Tum Kaho Yaani Ye Tumhari Baat Bane. Allah Ye Chahta hai ki Ai Mahboob ! Baat Meri Ho Aur Zubaan Tumhari Ho.. Hamri Sifaat Ko Tum Duniya ko Batao. Aur Farma Do Ki “Allahu-Ahad” Allah Ek Hai. Aur Tumhari Sifaat Ham Irshad Farmate hai. “Muhammadur-Rasoo-Lul-Laahi Wal-Ladhina M’ahu Ashid-Da’aau Alal-Kuffar”
  • Laa Ilaaha Il-Lal-Laahu” Tum Kaho “Muhammadur-Rasoo-Lul-Laah” Main Kahu. Jo “Laa Ilaaha Il-Lal-Laahu” Kahe Gaa Wo Sunnate Mustafa Adaa Kare Gaa. Aur Jo “Muhammadur-Rasoo-Lul-Laah” Kahe Gaa Wo Sunnat-e-Khuda Adaa Kare Gaa. Jab tak sunnat-e-Mustafa Na Paao Ge Tumhen Aage Badhne Ki Ijaazat Na Mile Gee.
  • Khulasa : Puri Baat Ki Nichor Ye Hia Ki Jab tak Koi Shakhs Rasool Ko Unki Zaat-o-Sifat ke Muta-biq Jo Allah ne Ataa Farmaya Hai” Nahi Manega. Wo Har giz Khuda Ko Nahi Maan Sakta Hai. Mere Dosto ! Ye Main apni Tarf se Nahi Balki Khud Qu’an Ka Ailaan Hai.
  • Yaad Rahe Dosto !  Jab tak Insaan Daleel Ko Nahi Samjhta, Dawe  Par Iman Nahi Lata Hai. Jab Jaadu-garo ne Hazrat-e-Moosa Alaihis Salam se Muqabla Kiya tha, Moosa Alaihis Salam ke Mojaza ne Jaadu-gro ko hara diya Aur Aakhir mein ye huwa ki Sab Jadu-gro ne Iman Laya Aur Kaha. “ Aaman-na Rab-bil-Aalameen Rabbi Moosa Wa Haroona”  Hum Rabul-Aalameen par Iman Laaye Jo Moosa Aur Haroon Ka Rab Hai. Moosa Alaihis Salam ke Mojaza Ko Dekh kar Jadu-gron ne Iman Laaya Moosa Ke Rab par. Maloom huwa ki Ye Daleel Hai aur wo Daawa. Jo Daleel Ko Manta Hai Usko Dawe Ko Manna Pade Gaa, Aur Jab Tak tum Daleel se Door Rahoge Daawa Samajh mein nahi Aayega..
    ____________________________________________
    ________________________


Ibadat Ka Jazba Insaani Fitrat Hai.

  • Ibadat Karne Aur Sar Jhuka ne Ka Jazba Insan Ka Fitrati Jazba Hai. Insan Jisko Poojta Hia Use Apne se ziyada Taqatwar Yaqeen Karne Ke Baad Poojta Hai. Ye Aur Baat Hai Ki Fitart Kahein Galat Raste par lagi Ho…:

Dosto ! Ek Piyara Dil-chasp Waqiya Padhte Hain.  Ek Jamat “class” Maa-Bood “Jiski Pooja Ki Jaaye” Mein Nikli , Aage chalne ke baad Mitte se Bani Kuchh Moorat Nazar Aayi,  Jo Dekhne Mein Zabar-Dast Nazar Aarahi Thi. Kuchh Log Wahan Hath Jod Kar Khade Hogaye Aur Ek Dosre Se Kahne Lage Kahein yahi To Hara Maa-Bood Nahi Hai. Magar Kuchh Log Sochne Lage Nahi Kyon Na Hum Pathar Ki Pooja Kare Joki Is Mitti Ko Bhi Choor-choor Karne Ki Taqat Rakhta Hai.Un Mein Se Bhi Kuchh Log Sochne Lage Hum Lohe Ki Pooja Kyon Na kare Jo Pathar Ko Bhi Choor-choor Kar Deta Hai. Wahan Se Aage Badhne Ke Baad Kuchh Logo ne socha ki Aag Ke Sholo Ko Pooja Jaaye Isliye Ki Aag Lohe Ko Pighla Kar Kuchh se Kuchh Bana  Deta Hai. Phir Un Mein se Kuchh sochne walo ne socha ki Kyon Na Paani Ke Qatre Ko Pooja Jaaye Jo Aag Ke Wajood Ko Fana Kar Dete Hain Phir Aage socha gaya Darya Ki Rawani Ki Kyon Na Prastish Ki Jaaye, sochne walo ne socha Ki Darya wahi hai jis mein chand ki chandani chamakta hai.Samandar Mein Moujein Uthti Hain Lekin Chand Ki Chandani waise ki waise Rah jaati Hai.. Poojna Hai to chand Ko Hi Poojo…

  • Jab  chand ke paas aaya to pata chala ki chand khud sooraj ki roshni se chamak raha hai. Research karne wale maa-bood ki talash mein sooraj ke paas aaye to pata chala ki sooraj to aadhi duniya ko roshan karta hai.aur aadhi duniya mein andheri rahti hai . Piyare dosto ! Kuchh logo ne kaha ki hum aise ko nahi poojenge. Hum to usko talash kar rahe hain, Jo Zameen-o-Aasman Ko Roshan karta ho.

  • Talash karne wale talash karte karte jab Hijaaz ki sar-zameen par pahunche, wahan unho ne dekha to hairat ki intiha na rahi. Ye Manzar Dekhte hi ki Ek Insan Ke Ishare se Chand Ke  Tukre Hote Hian, Ishare se sooraj Palat Aata Hai, Ishare se kank-kariyan Kalima padhti Hain, Ishare se Darakht “tree” jhuk jaate hain, Agar Qadam Utha Diiya to Arsh ke uper jaa pahuchte hain. Us Insan Ki sari Taqat-o-Azmat Dekh kar Sar jhukane ka Jazba Le kar Ye Jamat Aage Jaati Hai. Magar wahan wo Insan Khud kisi ke Aage jhuka huwa hai. Wo Insan Yani Prophet Muhammad SWL ne farmaya Ai Aane wale Ruk Jaao Hum Tumhare sar ko apne aage na jhukne denge. Kaho “Ash-hadu Al-La Ilaaha Il-Lallahu. [Yaani Kaho Main Gawahi Deta Hun Ki Allah Ke siwa Koi Ibadat Ke Layiq Nahi]

 Maa-Bood Talash karne wali jamat ab apas mein kahne laga ki Bhai Masla Hal Hogaya. Ki Jidhar Ye Taqat Jhuk Jaaye wahi hai Ibadat ke layiq.

“sooraj ne nahi kaha La Ilaaha Il Lallah”
“chand ne nahi kaha La Ilaaha Il Lallah”
“Aag ne nahi kaha La Ilaaha Il Lallah”
“Samadar ne nahi kaha La Ilaaha Il Lallah”
Kisi Ki Zuban Nahi Khuli,Kuchh Na Bol Saki.

  • Magar Prophet of Allah SWL  Jo Burhan, Dalee-e-Ilaahi  Hain, Yahan Jab Tum Aaoge To Ye apne Aage tumhe Nahi jhukayenge Balki Dawe ke aage jhuka yenge. To Mere Piyare Dosto ! “Laa Ilaaha Il-Lallahu” Ye Islam Ka Dawa Hai Aur “Muhammadur-Rasool Allah” Us Dawe Ki Daleel Hain…
______________________________________________________________________________

What is proof in Islam?
Daleel Ka Asal Mein Maana Kiya Hai ?

  • Mere dosto ! Daleel Aur Dawe Ka Matlab Kya Hota Hai? Isko samajh ne keliye Aap Dawe Ko Question, Aur Daleel Ko Answer Samajhiye. To Aap ko pata chal jaaye Ga ki Daleel Ka Kaam Hota Hai Itminaan, Sukoon Dena Hai Aur Dawe Ka Matlab Hai “Iztiraab” Be-Qarari, Be-chain karna. Misal Ke Taur Par Koi Shakhs Aap se Mushkil Question Kiya Agar Aap ko Answer Maloom na ho to aap Be-chain hojayenge. Aur Sochenge Aakhir iska Answer kiya hoga. Lekin jab Aap ko Us Sawal Ka Jawab mil jaaye to aap khush hojayenge. Aap ki Be-Qarari Qarar mein aajayegi.

 

  • Mere Azeez Piyare Dosto ! Ab Aao Hadith Ki Roshni Mein Samajhte hain. Hadith Sharif mein hai ki jab Arsh par “Laa Ilaaha Il-Lallahu Likha Gaya to Haibat-e-Jalaal-e-Ilahi se Arsh Kanpne Laga Aur Jab “Muhammadur Rasoolullah Likha gaya to usko sukoon aagaya.

Prophet of Allah Mohammad SWL farmate hain ki Momin ki Rooh aise niklegi jaise phool se khushbu nikal jaati hai.

 

  • Tafseer-e-Roohul Bayaan mein hai ki Ek Buzurg Insan ne Rasool Allah SWL ki Ziyarat keliye aaya to Nabi SWL se puchha, Huzoor Naza “Maut Ka Time” Taklifein to bahut hain. Lekin Aap kahte Hain ki Rooh Aisa niklega jaise phool se khushbu nikal jaaye. Sarkar Aap ka ye kalam “Baat” samajh mein na Asaka. Prophet Mohammad SWL ne farmaya Sura-e-Yoosuf mein ghaur karo. Jab woh shakhs sura-e-yusoof dekha to ye manzar unke samne aaya ki Jab Misr mein “Allah ke Nabi Hazrat-e-Yoosuf Alaihis Salam ke Husn se Parde uthe to sari Aurate Hosh-o-Hawash kho Baithe Aur Unho ne Lembu ki jagah apni Ungliya kaat dali Aur unhein Ahsaas Bhi na huwa. 

Mere Dosto ! Baat Ye hai ki un sab ke hosh-o-hawash Jamal-e-Yoosufi mein gum hogaye the. Dard huwa Lekin Mahsoos na huwa. Takleef huwi, Ahsaas na huwa.

  • Yahan par Rasool apne karam se farmana chahte hain ki jab Momin ki Rooh niklegi to Jamal-e-Mustafa Us waqt Nigaho ke samne hoga sare Hosh-o-Hawash gum hoja yenge. Rooh nikal jaayegi pata bhi na chalega.  Dard hoga, Mahsoos na hoga.  Takleef hogi Ahsaas na hoga.

 

___________________________________________________
_____________________