HAZRAT-E-UMAR-BIN-KHAT-TAAB :
RIWAYAT Hazrat-e-Umar-Bin Khatab RDA Farmate hain Tum apne aap ka Muhasaba kiya karo Is se pahle ki Tum se Hisaab liya jaaye, Aur Apne Nafson ka wazan kiya karo Is se pahle ki Tumhara (Qayamat mein) Wazan kiya jaaye, Kyon ki aaj ka Hisaab kar lena Aasan hai Qayamat ke Din Hisaab dene se. Aur Apne Aap ko Allah ki Bargah mein Hazir hone keliye Sawar Lo, Jis Din Tum Pesh Kiye Jaao Ge Tumhari Koi Ghalti Tum se poshida "Chhupi" nahi rahi gi.
Momin Duniya mein Qaidi Hia.
HADITH SHAREEF Hazrat-e-Hasan Basri RDA Farmate hain Momin Ki Jamat Aisi hai Jis ko Qur'an Paak ne Qaabu kar rakha hai Unki halaa-kat ke saamne Unke Darmiyan Hayil Hogaya hai. Be-Shak Momin Duniya mein Qaidi hai apni Gardan ko (dozakh se) Aazad karane ki koshish mein rahta hai, Woh kisi cheez se La-parwah nahi hosakta hai Yahan-tak ki Allah Tala se Unki Mulaa-Qaat na ho jaaye. Woh Momin Banda to yahi jaanta hai duiya mein ki Allah Tala Uski sama'at, Basarat, Zuban aur A'azaa se Hisaab hoga. (Isi liye woh Unko Gunaho se Mahfooz rakhne ki koshish mein laga rahat hai.
Fayeda : Hazrat-e-Maimoon-Bin-Mehran RMA Farmate hain Aadmi Us waqt tak Mut-taqi nahi ban sakta Jab tak ki woh apne Nafs ka is tarah se hisab na kare jis tarah se koi apne shareek-e-Hayat se Hisab karta hai.
0 Comments
मेरे प्यारे दोस्तों ! यहां पर आप कोई ग़लत बात कमेंट ना करें। सिर्फ पोस्ट से संबंध कमेंट करें।