My Dear Friends ! So let's Go to knho about successful person in light of Islam Guidlines.
Nafs "Jaan" Ghalat Khuwahishat mein ghira hota hai Agar usko Khuwahishaat se na roka jaaye to Nafs apni Khuwahish ko pura karne mein masroof ho jaata hai. Aur Ghalat Aara, Jhooti Tamanna aur Ajeeb Aarzon mein ghir jaata hai. Khas-kar Insaan jab Jawani ki Dah-leez par Qadam Rakhta hai yaani Jawani bhi Ek Diwangi ka Ek Hissa hai,
Hazrat-e-Shad-daad Bin Aus RMTA Farmate Hian : Allah Ke Piyare Habib Sarkar-e-Mustafa SWL ne Irshad Farmaya : Samjhdar, Aqal-mand Shakhs woh hai jo apne nafs ka Muhasaba "Muqabla" kare Aur Mout ke baad ke liye Amal kare, Aur Aajiz woh shakhs hai jo apne Nafs ki khuwhish ki Takmeel mein masroof rahta hai. Yaani Apne Nafs ki khuwahish ko pura karne keliye hamesha apni zindagi ka aham waqt ko khatm kar deta hai. Aur Rab Tabarak-o-Talaa se (jhooti) Umeeden Qayim karta hai.
0 Comments
मेरे प्यारे दोस्तों ! यहां पर आप कोई ग़लत बात कमेंट ना करें। सिर्फ पोस्ट से संबंध कमेंट करें।