Shahwat Puri karna Dozakhi ka kaam hai.
Hadith : Hazrat-e-Ibn Bajeer RDA Farmate Hain Ek Din Nabi Kareem SWL Ko Sakht Bhook Lagi To Aap ne Apne Pet par Pat-thar Rakh liya Aur Irshad Farmaya :
Sun Lo ! Duniya mein Bahut ser hokar khane wale Qayamat ke din bhuke aur Nag-ge Honge.
Sun Lo ! Bahut se Log apne Nafs ke Qadr karne wale hain Jin ko Ye Nafs (Qayamat ke din) Ruswa kare gaa.
Sun Lo ! Bahut se Log Allah Aur Uske Rasool ke Ataa-karda Nimato mein mashgool "busy" hain Un ke liye (Qayamat mein) Allah ke paas koi Hissa nahi Hoga.
Sun Lo ! Jannat Ka Amal Unche Sakht Pahad par chadhne (ki tarah Mushil) Hai, Aur Dozakh ka Amal Hum-war Zameen par Aasani se Kood jaane ki tarah hai.
Khabar-daar ! Ek Ghadi ki shahwat Lambe Zamane tak Gham-geen (Azaab mein mubtal) kar dene wali hai.
www.rbnwikipedia.com |
Duniya mein Taqatwar Kon Hian?
Hazrat-e-Abu-Horera RDA Farmate Hain ki Janabe Mohammadur Rasool Allah SWL ne Irshad Farmaya : Woh Aadmi Pahal-wan nahi hai jo logo ko pachhard de, Balki Pahal-wan to woh hai
Jo apne Nafs par Ghalib aajaye.
Bada Jihaad "Muqabla" Kya Hai?
Hazrat-e-Jabir RDA Farmate Hain ki Janabe Nabi Kareem Mohaammad SWL Ek Ghazwa se wapas hoye to Mujahideen-e-Islam se Farmaya :
Tumhaara Aana Mubarak Ho, Tum Chhote Jihad se Bade Jigad ki Taraf Aaye, Sahaba-e-Kiram ne arz kiya Kiya Ya Rasool Allah ! Bada Jihad konsa Hai ?
To Aap Mohammad SWL ne farmaya : Insan ka apni Khuwahi-shat Nafsani se Jihad kara.
Mujahid-e-Nafs Bada Jihad Kyon Hia..
Dost ! Aaye Zara Maloom Karte Hain Nafs se Muqabla 'Jang' karna kaise Bada Jihad Hia...?
Mujahid-e-Nafs Bada Jihad Isliye hai ki Nafs Khuwisho ke Bich mein ghira huwa hai, NAFS Mahboob cheez hai aur yeh jis cheez ki raghbat kare woh bhi Mahboob hoti hai
Aur yeh Usi cheez ki Dawat deta hai jis ki ye khuwahish karta hai. Isi Tarah Nafs Ghalat Kamo mein bhi Mahboob Hoti hai aur jab yeh kisi Mahboob cheez ki
taraf Bulaye to phir Mahboob Kyon nahi Hogi.
Aur Jab Haalat Is ke Mukhalif ho aur Mahboob Jis cheez ko pasand kar raha hai uski Mukhalifat Mushkil aur Bada Jihad kyon na hogi. Kuffaro ke sath jihad karne ke bar-khilaf Kyon ki Insan ki tabiat
Dushmano se jang karne par tab taiyar hoti hai jab ki Dushman ki sar par khada ho. Lekin Nafs to woh cheez hai jis ke Be-ghair aapn nahi hai. Yahi woh Nafs hai jo kabi achhi aur Buri cheez ki taraf Insan ki Maayil kar deta hai.
Dosto ! Islam ki In Roshni wali bato se hamen pata chala ki Aakhir Sab se Bada Jihad kya Aur Kon Hia...
Qur'an Sharif : Sura-e-Hajj : 78
Yahan sifr uska Translate likha jaaye gaa. Allah Tala Irshad Farmata Hai : Tum Allah Ki Raah mein Aise Jihad Karo Jaisa ki Jihad karne ka Haque Hai.
Note : Uper mein likhi gayi bato ki Tafseer mein Hazrat-e-Imaam-Bin Mubarak RMA Farmate hain Ki Is Jihad se Murad Nafs hai aur khuwah se Muqabla karna hai.
0 Comments
मेरे प्यारे दोस्तों ! यहां पर आप कोई ग़लत बात कमेंट ना करें। सिर्फ पोस्ट से संबंध कमेंट करें।